✪⚘ DARMIYANI - UMMAT ⚘✪


🌷★الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ★🌷

اَلۡـحَـمۡـدُ  لِـلّٰـہِ  رَبِّ  الۡـعٰـلَـمِیۡنَ    وَ الـصَّـلٰـوۃُ   وَ  الـسَّـلَامُ  عَـلٰی سَـیِّـدِ  الۡـمُـرۡ سَـلِـیۡنَ اَمَّـا بَــعۡـدُ فَـاَعُـوۡذُ   بِـا لـلّٰـہِ   مِـنَ الـشَّـیۡـطٰنِ الـرَّجِیۡمِ ؕ   بِـسۡمِ  الـلّٰـہِ  الـرَّحۡـمٰنِ الـرَّحِـیۡمِؕ

🌷📖 ✧➤ KiTaB Padhne ki Du’a Deeni KiTaB Ya IsLami SaBaQ PadHne Se pehLe Ye Mayne Di Hui Du’a parh Lijiye اِنْ شَــآءَالـلّٰـه عَزَّوَجَلَّ jo kucH Padhenge Yaad RaHega Du’a Ye hain..★↷

اَللّٰهُمَّ افۡتَحۡ عَلَيۡنَا حِكۡمَتَكَ وَانۡشُرۡ عَلَيۡنَا رَحۡمَتَكَ يَـا ذَا الۡجَلَالِ وَالۡاِكۡرَام

⚘ Tarjuma ❁☞ Ay Allah عَزَّوَجَلَّ! عَزَّوَجَلَّ Hum per ‘Ilm-o-HikmaT ke Darwazay khoL De aur Hum par apni rahmaT Nazil farma Ay AzmaT aur Buzurgi waLe

*📬 AL-Mustatraf, jiLd. 1, page 40 📚*


*⚠ NOTE* AwwaL aakhir Durood-e-pak Padh Len..✍

✫                                                           ✫              
    ✫            *✪      ﷽     ✪*            ✫    
✫                                                           ✫    


                            0⃣1⃣

 *⚘ D A R M I Y A NI - U M M AT ⚘*  

*★BISMILLAHIRRAHMANIRRAHIM★*

☝🏻"DARMIYANI UMMAT NAME RAKHNE KEE WAJAH

📝 Is post ka name "Darmiyani ummat" kiyon rakha gaya?  baat dar'asl yah hai ki is ummat yani ummate muhammadi Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ko Allah ta'ala ne quran-e-pak mein "ummat wast" ya'ni darmiyani ummat se tabeer farmaya hai irshad farmata hai,

*🔰 TARJAMA* aur aise hee hamne tum ko banaya darmiyani ummat ( Afzal ummat ) taki tum logon par gawah raho

     *📬[ Ref (  Para 2, Ruku 1 ]*

✍🏻 "Wast ke lugwi ma'an us jagah ke hain jo darmiyan aur beech mein ho dono'n kinaron se uski doori bilkul barabar ho aur choonki aamtaur se gadbadi fasaad w kharabi kinaron aur atraf mein aatI hai , darmiyan kee cheez galiban mahfooz sahi w salim umda w behtareen hoti hai isliye ulmae mufassereen ne iske ma'an afzal aur behtareen ummat likhe...✍

╭─━━━──•┉•──━━━━─╮
┣━━───● ɴᵉˣᵗ  ᴘᵒˢᵗ  ᶜᵒⁿᵗⁱⁿᵘᵉ
┣━─●  Gɪʀʟs  Isʟᴀᴍɪᴄ  Gᴜʀᴏᴘ
┣━─●  ʝσเɳ 📲 +91 7566980838  
┣━─●  Talib e Duaa AdmiN Team
╰─━━━──•┉•──━━━━─


✫                                                           ✫              
    ✫            *✪      ﷽     ✪*            ✫    
✫                                                           ✫    


                            0⃣2⃣

 *⚘ D A R M I Y A NI - U M M AT ⚘*  

*★BISMILLAHIRRAHMANIRRAHIM★*

📝 Insanon kee aadaton aur khasalton mein bhi umooman darmiyani aur beech kee rawish acchi hoti hai, maslan kanjoos hona bhi ek buri aadat hai aur fuzool kharchi bhi ek kharab rawish hai aur in dono'n ke beech ka rasta jo sakhawat hai wah umda aur acchi aadat hai josheela aur jazbati hona bhi mazmoom hai aur buzdil aur kam Himmat hona bhi acchi nazron se nahin dekha jata lekin in dono ke darmiyan ka tareeqa jo shuja'at aur bahaduri hai

🔰 Duniya uski tareef karti hai qad w qamat mein bahut zyada lamba insan bhi accha nahin lagta aur nata aur bauna hona bhi aib mana jata hai bahut zyada mote insan ko dekh kar log hanste hain aur zyada duble patle sookhe hue ko bhi girl nazron se dekhte hain insan kee umr mein jawani jo budhape aur bachpane ke darmiyan kee umr hai kaun nahin janta ki

✍🏻 Wahi maqsade zindagi aur hasil hayat hai aur khane peene sone aur zindagi se luft andoz hone ka wahi zamana hai sookhe aur qahtasali se bhi barbadi aatI hai aur barish ki bahut zyada bhi sailab kee shakl mein tabahi latitude hai bahut zyada Garmi se bhi insan kee tabee'at ghabrati hai aur naqabile bardasht sardi bhi use bechain kar deti hai garaz yah ki aadate ho ya doosre samaji kam umooman darmiyan mein hona hee afzal w behtar w pasandida hai.    

╭─━━━──•┉•──━━━━─╮
┣━━───● ɴᵉˣᵗ  ᴘᵒˢᵗ  ᶜᵒⁿᵗⁱⁿᵘᵉ
┣━─●  Gɪʀʟs  Isʟᴀᴍɪᴄ  Gᴜʀᴏᴘ
┣━─●  ʝσเɳ 📲 +91 7566980838  
┣━─●  Talib e Duaa AdmiN Team
╰─━━━──•┉•──━━━━─


✫                                                           ✫              
    ✫            *✪      ﷽     ✪*            ✫    
✫                                                           ✫    


                            0⃣3⃣

 *⚘ D A R M I Y A NI - U M M AT ⚘*  

*★BISMILLAHIRRAHMANIRRAHIM★*

 📝 Ummate wast ke ma'ana mein mufassereen kiram ne yah bhi farmaya hai ki pichli ummate gulu aur taseer mein mubtala huie "gulu" ke ma'ana hai tareef mein had se aage Badh jana aur "taqseer"  ke ma'ana hain martabe ko ghatana aur tauheen w tazleel karna maslan hazrate  isa Alaihis'salam ke mamle mein nasara yani isaee had se aage bad gae aur unhe khuda e ta'ala ka beta qarar diya aur baaz ne Unhe khuda hee man liya aur yahoodiyon ne isa Alaihis'salam kee maa'n hazrate Maryam ko zaniya aur badkar qarar de kar janab isa ko walduzzina ( zina se paida hone wala ) Kah dala

🔰 Allah ta'ala kee panah  Islami nuqtae nazar se hazrat sayyadena isa Ala nabi yyina w Alaihis'salam na khuda hain na khuda ke bete na kisi zaniya ke bacche balki khuda e ta'ala ke barguzeeda ( pyare ) bande sahibe azmat w jalal paigambar ,  nabi aur Rasool hai Ahkam w masail ke mamle mein bhi sharee'ate islamiya ek darmiyani rasta hai jiski tafseel kee main yaha zaroorat nahin samajhta

✍🏻 Ek hadees mein paigambar e islam Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne saaf taur par farma diya hai ki beech ka aur darmiyani rasta hee seedha aur saccha rasta hai aur jo idhar-udhar hai wah sab tede aur gumrahi ke rastey hain.

╭─━━━──•┉•──━━━━─╮
┣━━───● ɴᵉˣᵗ  ᴘᵒˢᵗ  ᶜᵒⁿᵗⁱⁿᵘᵉ
┣━─●  Gɪʀʟs  Isʟᴀᴍɪᴄ  Gᴜʀᴏᴘ
┣━─●  ʝσเɳ 📲 +91 7566980838  
┣━─●  Talib e Duaa AdmiN Team
╰─━━━──•┉•──━━━━─

✫                                                           ✫              
    ✫            *✪      ﷽     ✪*            ✫    
✫                                                           ✫    


                            0⃣4⃣

 *⚘ D A R M I Y A NI - U M M AT ⚘*  

*★BISMILLAHIRRAHMANIRRAHIM★*

       ⇩◑      *✫ HaDees ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘✧➤ Hazrate Abdullah bin masood Razi'allahu ta'ala anhu se marwi  hai ki Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne hamare liye ek KHAT ( lain ) kheecha fir farmaya yah Allah ta'ala ka rasta hai uske baad daye aur baye KHAT kheenche aur farmaya ki yah wah rastey hai jin mein se har ek par shaitan hai jo apni taraf bulata hai,

*📬 [ Ref ( Mishkat ,  babe etisaam bilkitab walsunnah, safah 30 ] 📒*

⚘✧➤ Aur Haqeeqat yahi hai ki ek nuke se jab ek seedha KHAT kheench diya jae fir usi nukte se dahine aur baye jo khutoot yani laine khinchi jayengi wah sab tedhi hongi aur darmiyani mein na chal kar idhar-udhar ko bhangegi neeche ke nakshe se bhi is baat ko samajha ja sakta hai,

⚘✧➤  Is naqshe se zahir hai ki seedha aur darmiyan ka rasta sirf ek hai 👆 aur uske dahine baye jo raste hain wah sab tedhe hain yani idhar-udhar ko bhangegi wale hai aur yah sab gumrah ke raste hain quran e kareem mein ek aur jagah farmaya  gaya,

       ⇩◑      *✫ Tarjuma ✫*      ◑⇩
                      •──────•

⚘✧➤ aur beech ka rasta thik Allah tak hai aur kuch raste tedhe hain...✍

*📬 [ Ref Para 14, Ruku 7, Sureh Nahal ]*

http://islahekhwateen.blogspot.com/2018/09/d-r-m-i-y-ni-u-m-m-at.html?m=1 ༺  🌍

╭─━━━──•┉•──━━━━─╮
┣━━───● ɴᵉˣᵗ  ᴘᵒˢᵗ  ᶜᵒⁿᵗⁱⁿᵘᵉ
┣━─●  Gɪʀʟs  Isʟᴀᴍɪᴄ  Gᴜʀᴏᴘ
┣━─●  ʝσเɳ 📲 +91 7566980838  
┣━─●  Talib e Duaa AdmiN Team
╰─━━━──•┉•──━━━━─

αɳωααR - uL เsℓαɱ ★ ɱαɦƒเL ε Dεεɳ


✫                                                           ✫              
    ✫            *✪      ﷽     ✪*            ✫    
✫                                                           ✫    


                            0⃣5⃣

 *⚘ D A R M I Y A NI - U M M AT ⚘*  

*★BISMILLAHIRRAHMANIRRAHIM★*

       ⇩◑      *✫ HaDees ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘✧➤ Ummate muslima ko khuda e ta'ala ne Quran e kareem mein darmiyani ummat farmaya tou ummat mein firqe aur giroh ho Jane ke baad bhi ahle haq wa sadaqat ko aaj tak darmiyan hee mein rakha yani jis tarah islam jhoote mazhabon ke darmiyan gulu w taqseer ( kami aur zyadati ) se paak beech ka seedha rasta hai aise hee islam ke name lewa batil aur jhoote firqon mein aqaid w nazriyat ke atibar se firqae najiya ahlesunnat waljama'at hamesha se darmiyan hee raha hai aur aaj bhi hai pesh nazar auraq jo ek kitabche kee shakl mein banam "darmiyani ummat"  aapke hathon mein hai unme isi ijmal kee qadare tafseel, isi raaz ka inkishaf mulahiza farmayenge

⚘✧➤  Aur yaqeenan ahle iman ko yah jaan kar badi khushi hogi ki farmane ilahi ke mutabiq aaj tak wah darmiyan hee mein chale aa rahe hain

⚘✧➤ Post likhne ke mamle mein faqeer ka ab tak ka jo mamool aur tareeqaekar hai ki main aamtaur se boli jane wali zaban yani aam bol chal mein apne dil kee baat doosron tak pahunchane ka aadi hoon wuh yahan bhi rahega yani bajae apni qabiliyat dikhane ke awam bhaiyon ko fayadah pahunchane kee koshish kee jae

⚘✧➤  Ab Aap post ka mutala'a keejie aur mulahiza farmaye ki kis tarah khudae ta'ala ne aaj tak ahle haq ko darmiyan mein rakha hai...

⚘🤲🏻 ➤ Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me,Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki,Roshni me Amal karne ki taufiq de.
   
*Aameen Summa Aameen.🌹*

اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه    

http://islahekhwateen.blogspot.com/2018/09/d-r-m-i-y-ni-u-m-m-at.html?m=1 ༺  🌍

╭─━━━──•┉•──━━━━─╮
┣━━───● ɴᵉˣᵗ  ᴘᵒˢᵗ  ᶜᵒⁿᵗⁱⁿᵘᵉ
┣━─●  Gɪʀʟs  Isʟᴀᴍɪᴄ  Gᴜʀᴏᴘ
┣━─●  ʝσเɳ 📲 +91 7566980838  
┣━─●  Talib e Duaa AdmiN Team
╰─━━━──•┉•──━━━━─

αɳωααR - uL เsℓαɱ ★ ɱαɦƒเL ε Dεεɳ

✫                                                           ✫              
    ✫            *✪      ﷽     ✪*            ✫    
✫                                                           ✫    


                            0⃣6⃣

 *⚘ D A R M I Y A NI - U M M AT ⚘*  

*★BISMILLAHIRRAHMANIRRAHIM★*

       ⇩◑      *✫ HaDees ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘✧➤ Qadariya aur jabariya firqon ke darmiyan


⚘✧➤ Paigambare islam hazrat Sayyadena Muhammad mustafa sallallahu ta'ala alaihi wasallam ke duniya se tashreef le jane ke baad tareekhe islam ke is ibtedaee daur mein jin gumrah firqon ne janm liya unme "qadariya" aur "jabariya" do mashahoor firqe hain yah dono'n rahe haq seedhe aur sacche raste se hate aur idhar-udhar ko bahke aur musalman kahla kar bhi kafiron ke aqaid ikhtiyar kiye in dono'n ke khayalat ek dam ek doosre ke bilkul mutzaad  ( virodhi ) hain neeche hum in dono'n ke gumrahakun  ( gumrah karne wale ) khayalat ka mukhtasar andaz mein jaiza lenge aur fir firqae najiya ahlesunnat waljama'at ke aqaid is silsile mein bayan karenge jinhe padh kar aap khoob wazeh ho jaega ki ahle haq darmiyan mein hain seedhe sacche aur beech ke raste par hain

*⚘✧➤ Qadariya:-* Yah firqa sahaba-e-kiramke zamane hee mein wujood mein aa chuka tha yaha'n tak ki inka zikr bade wazeh aur saaf andaz mein hadees kee mashahoor kitaab Saheeh Muslim mein ek hadees ke andaaz hai jisko abhi hum chand satar ke baad bayan karenge

⚘✧➤ Is firqe ka aqeeda hai ki insaan khud hee apne af'aal ( kamon ) ka khaliq hai jab wah kuch karta hai tabhi wah kaam wujood mein aata hai taqdeer koie cheez nahi hai yani pahle se kuch likha hua nahin hai aur Allah Az'wazal ko bhi kisi kaam ka ilm tabhi hota hai jab insaan use karta hai, sudoor w wujood ( kaam ke hone ) se pahle wah Allah ta'ala ke bhi ilm mein nahin hota.

اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه    

http://islahekhwateen.blogspot.com/2018/09/d-r-m-i-y-ni-u-m-m-at.html?m=1 ༺  🌍

╭─━━━──•┉•──━━━━─╮
┣━━───● ɴᵉˣᵗ  ᴘᵒˢᵗ  ᶜᵒⁿᵗⁱⁿᵘᵉ
┣━─●  Gɪʀʟs  Isʟᴀᴍɪᴄ  Gᴜʀᴏᴘ
┣━─●  ʝσเɳ 📲 +91 7566980838  
┣━─●  Talib e Duaa AdmiN Team
╰─━━━──•┉•──━━━━─

αɳωααR - uL เsℓαɱ ★ ɱαɦƒเL ε Dεεɳ


✫                                                           ✫              
    ✫            *✪      ﷽     ✪*            ✫    
✫                                                           ✫    


                            0⃣7⃣

 *⚘ D A R M I Y A NI - U M M AT ⚘*  

*★BISMILLAHIRRAHMANIRRAHIM★*

       ⇩◑      *✫ HaDees ✫*      ◑⇩
                     •──────•

*⚘✧➤ KHULASA:-*  yah ki unke nazdeek insan poori tarah malik w mukhtar aur qadir hai uska irada hee sab kuch hai pahle se likha hona yani taqdeer koie cheez nahin hai is firqe ka bani basare ka rahne wala ek shakhs tha jiska naam "Ma'a bad juhani" tha sabse pahle isi shakhs ne taqdeer ka inkar kiya Saheeh Muslim  mein hai:

*⚘✧➤ HADEES :-* Hazrate yahsya bin ma'amar se marwi hai ki sabse pahle taqdeer ka jisne inkar kiya wah "ma"abad HAJ ke liye MAKKA E MU'AZZAMA gae tou hamne kaha ki agar Huzoor ke sahaba mein se hame koie mila tou hum usse taqdeer ke bare mein maloomat karenge ittifaq se hame hazrate Abdullah bin umar mil gae jo masjid shareef mein dakhil ho rahe the tou hum dono'n unke dahine aur baye ho liye yahaya kahte hain ki main janta tha ki humaid khud baat na karega mujh se hee baat karayenge

⚘✧➤ Lihaza maine hazrate Abdullah bin umar se arz kiya ki hamare yahan kuch log hain jo Quran padhte hain ilme deen hasil karte hain aur bhi kuch unki tareef karke maine kaha ki wah log khayal karte hain unka aqeeda hai ki "taqdeer koie cheez nahi'n hai ( yani pahle se likha hua kuch nahin hai ) insan ka karna hee sab kuch hai aur wah apne kamon ka khud hee khaliq hai.

اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه    

http://islahekhwateen.blogspot.com/2018/09/d-r-m-i-y-ni-u-m-m-at.html?m=1 ༺  🌍

╭─━━━──•┉•──━━━━─╮
┣━━───● ɴᵉˣᵗ  ᴘᵒˢᵗ  ᶜᵒⁿᵗⁱⁿᵘᵉ
┣━─●  Gɪʀʟs  Isʟᴀᴍɪᴄ  Gᴜʀᴏᴘ
┣━─●  ʝσเɳ 📲 +91 7566980838  
┣━─●  Talib e Duaa AdmiN Team
╰─━━━──•┉•──━━━━─

αɳωααR - uL เsℓαɱ ★ ɱαɦƒเL ε Dεεɳ


✫                                                           ✫              
    ✫            *✪      ﷽     ✪*            ✫    
✫                                                           ✫    


                            0⃣8⃣

 *⚘ D A R M I Y A NI - U M M AT ⚘*  

*★BISMILLAHIRRAHMANIRRAHIM★*

       ⇩◑      *✫ HaDees ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘✧➤ Yah sun kar hazrate Abdullah bin umar ne farmaya ki jab tum un logon se mulaqat karo tou meri taraf se kah dena ki wah mere nahin main unka nahin fir hazrate Abdullah bin umar ne qasam kha kar yah baat kahi ki agar koie shakhs uhud pahad ke barabar sona bhi rahe khuda mein kharch kare tou Allah ta'ala uski yah khairat qabool nahi farmayega jab tak wah taqdeer par iman na lae

⚘✧➤ Iske baad hazrate Abdullah bin umar ne ek taweel hadees Rasool e paak  Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ka farmane girami bayaan farmaya jisme acchi buri taqdeer ka aqeeda rakhna imaan ke liye zaroori farmaya gaya hai

*📬 [ Ref >> Saheeh Muslim , jild 1, Kitabul iman, safah 27 ]*

⚘✧➤ Is hadees se jahan firqae qadariya kee asl aur unke batil aqaid ka pata chala wahin yah bhi maloom hua jo log gumrah w baddeen aur bad'aqeeda hon unse doori aur nafrat behad zaroori hai aur unka koie amal bargahe khudawandi mein qabool nahin jab tak unka aqeeda w khayal duroost na ho khwah wah kitna hee Quran padhe aur deendar ban kar rahe aise bad'aqeeda naam ke musalmanon se nafrat karna Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ke sahaba ka tareeqa hai.

اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه    

http://islahekhwateen.blogspot.com/2018/09/d-r-m-i-y-ni-u-m-m-at.html?m=1 ༺  🌍

╭─━━━──•┉•──━━━━─╮
┣━━───● ɴᵉˣᵗ  ᴘᵒˢᵗ  ᶜᵒⁿᵗⁱⁿᵘᵉ
┣━─●  Gɪʀʟs  Isʟᴀᴍɪᴄ  Gᴜʀᴏᴘ
┣━─●  ʝσเɳ 📲 +91 7566980838  
┣━─●  Talib e Duaa AdmiN Team
╰─━━━──•┉•──━━━━─

αɳωααR - uL เsℓαɱ ★ ɱαɦƒเL ε Dεεɳ


✫                                                           ✫              
    ✫            *✪      ﷽     ✪*            ✫    
✫                                                           ✫    


                            0⃣9⃣

 *⚘ D A R M I Y A NI - U M M AT ⚘*  

*★BISMILLAHIRRAHMANIRRAHIM★*

       ⇩◑      *✫ HaDees ✫*      ◑⇩
                     •──────•

*⚘✧➤ KHULASA:-* Yah hai ki "QADARIYA" ek batil firqa hai jo taqdeer ka inkar karta hai aur kahta hai ki pahle se kuch likha hua nahin muqaddar aur taqdeer koie cheez nahin jo hua aur jo hoga un sab ka ilm rakhne wale Paigambare aazam hazrat Muhammad mustafa sallallahu ta'ala alaihi wasallam ne unke bare mein pahle hee se farma diya tha hadees shareef mein hai Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne farmaya :

⚘✧➤ Qadariya is ummat ke majoosi hain agar wah beemar hon tou unki bimarpursi ko na jao agar wah mare tou unke janaze mein shareek na ho

*📬 [ Ref >> Mishkat , Babulimaan Bilqadr, Safah 22 ]*

⚘✧➤ Taqdeer par imaan la na aur imaan rakhna musalman ke lie zaroori hai aur taqdeer ka Munkir yaqeenan islam se kharij hai is par imaan rakhne kee Ahmiyat ke pesh nazar hadees w aqaid kee kitabon mein ulma ne Kitabul qadr aur Babulimaan Bilqadr ke naam se mustqil baab zikr farmaye hain aur saikdon hadeese is par imaan se mut'allik riwayat kee gaee hain yaani har musalman ke liye lazim hai ki wah yah aqeeda rakhe ki kainaat mein jo kuch bhi hota hai ya insaan jo kuch karta hai acche kaam ho ya bure kaam sab pahle se likha hua hai aur sab ka paida karne wala Allah hee hai aur uske ilm mein sab pahle se hai lekin insan jo kuch karta hai usme uska apna irada bhi shamil hota hai aur isi irade kee wajah se wah acche kaam par sawab aur bure kaam par azaab wa saza ka musthaq hai taqdeer ka mutalqan inkar insaan ko khali manna hai aur Quran e kareem mein hai:

*⚘✧➤ TARJAMA:-* "Allah ke Alawa koie aur khaliq nahi'n

🌹👆🏻Is sab kee tafseel post  abhi aage aati hai

اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه    

http://islahekhwateen.blogspot.com/2018/09/d-r-m-i-y-ni-u-m-m-at.html?m=1 ༺  🌍

╭─━━━──•┉•──━━━━─╮
┣━━───● ɴᵉˣᵗ  ᴘᵒˢᵗ  ᶜᵒⁿᵗⁱⁿᵘᵉ
┣━─●  Gɪʀʟs  Isʟᴀᴍɪᴄ  Gᴜʀᴏᴘ
┣━─●  ʝσเɳ 📲 +91 7566980838  
┣━─●  Talib e Duaa AdmiN Team
╰─━━━──•┉•──━━━━─

αɳωααR - uL เsℓαɱ ★ ɱαɦƒเL ε Dεεɳ

✫                                                           ✫              
    ✫            *✪      ﷽     ✪*            ✫    
✫                                                           ✫    


                            1⃣0⃣

 *⚘ D A R M I Y A NI - U M M AT ⚘*  

*★BISMILLAHIRRAHMANIRRAHIM★*

       ⇩◑      *✫ HaDees ✫*      ◑⇩
                     •──────•

             
*⚘✧➤ JABARIYA:-* Yah ek doosra firqa hai jo qadariyon ke bilkul Muqabil wujood mein aaya aur unhone beech ka rasta ikhtiyar na karke taqdeer ke mamle mein insaan ko bilkul majboor pedon, pattharon kee tarah qarar diya yani insaani jo kuch karta hai usmein uska Iraada koie cheez nahin aur uski niyat ka koie dakhal nahin aur usko kisi qism kee koie qudrat w taqat hasil nahin, usko bilkul ikhtiyar nahin wah taqdeer yani likhe hue ke aage mitti ke dhelon ,  pedon, pattharon kee tarah majboor hai yani jis tarah lakdi ,  patthar aur dhele wagairah kee harkat hain ki idhar se udhar jane, neeche utarne aur oopar chadne mein in cheezon ka na apna irada hai na ikhtiyar ,  na taqat w kuwwat balki jo inhein jab jaha'n chahe le jae aise hee insaan hai unke nazdeek kisi insaan ka sharaab peene aisa hee hai jaise kisi ladki ya patthar mein surakh karke sharab unke andar pahuncha dee gaee jis tarah lakadi ya patthar ke apne irade , khayaal aur niyat ko dakhal nahi, insaan bhi taqdeer ke aage isi tarah majboor hai yani uska Iraada aur niyat koie cheez nahi is firqe ka yah aqeeda bhi Islami nuqtae nazar se badi gumrahi w baddeeni hai kyon ki yah aqeeda rakhna Allah ta'ala ko Maz'Allah zalim qarar dena hai kyonki insaan jab acche ya bure kaam karne mein taqdeer ke aage aisa majboor hai ki usmein uska apna irada aur niyat bhi shamil nahin tou us par azaab karna zulm hee kaha jayega halanki quran e kareem mein farmane ilahi hai

*⚘✧➤TARJAMA:-* "main bandon par zulm nahi farmata

⚘✧➤ Yahi insaan jo kuch karta hai usmein taqdeer ke sath-sath uska apna Iraada bhi shamil hai aur jo kaam uske irade ke shamil hone se wujood mein aate hain unhin par par azaab diya jaega qadariya aur jabriya ke khyalat ko jo taqseel se janna chahe wah ilme aqaid w kalam kee kitabon ka mutala'a kare aati hai khulasha yah hai ki insaan na khuda e ta'ala kee tarah qadire mutalaq aur khaliq w moojid hai ( jaisa  ki qadariya ka khayal hai ) aur na ped, patthar kee tarah poori tarah majboor be- irada aur be-niyat aur be-aql hai ( jaisa ki jabriya ka khayaal hai.

اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه    

http://islahekhwateen.blogspot.com/2018/09/d-r-m-i-y-ni-u-m-m-at.html?m=1 ༺  🌍

╭─━━━──•┉•──━━━━─╮
┣━━───● ɴᵉˣᵗ  ᴘᵒˢᵗ  ᶜᵒⁿᵗⁱⁿᵘᵉ
┣━─●  Gɪʀʟs  Isʟᴀᴍɪᴄ  Gᴜʀᴏᴘ
┣━─●  ʝσเɳ 📲 +91 7566980838  
┣━─●  Talib e Duaa AdmiN Team
╰─━━━──•┉•──━━━━─

αɳωααR - uL เsℓαɱ ★ ɱαɦƒเL ε Dεεɳ

✫                                                           ✫              
    ✫            *✪      ﷽     ✪*            ✫    
✫                                                           ✫    


                            1⃣1⃣

 *⚘ D A R M I Y A NI - U M M AT ⚘*  

*★BISMILLAHIRRAHMANIRRAHIM★*

       ⇩◑      *✫ HaDees ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘✧➤ Seedha rasta darmiyan mein hai yani khaliq w qadire mutalaq aur moojid har shay ka ( har cheez ka banane wala ) Allah hee hai lekin insaan kee karni mein choonki uska Iraada bhi shamil hai lihaza wah jaza aur saza ka musthaq hai zahir hai ki insaan mein aql Allah ta'ala ne paida farmaee hai aur acche bure ko nafa w nuqsaan ko samajhane kee salahiyat usko ata farmaee hai aur paigambaron ko bhej kar uski aql kee rahnumaee farmai hai aur ped, paudhon ko lakadi aur pattharon ko yah nemat nahin dee gaee hai lihaza is kee aur unki harkat w sakanat aur af'aal mein farq karna hoga agar kisi insaan ke sir par pahad se patthar ya ped se thana toot kar girl jae aur wah kuchal kar Mar jae tou us pahad ya darakht ko koie duniya ka kort saza nahin deta aur isi patthar ya tahane ko koie insaan kisi ke sar par Gira De tou wah laiqe saza qarar diya jae,

⚘☝🏻Aur farmata hai:

*⚘✧➤TARJAMA:-* ( Yah azaab ) badla hai unke kartooton ka

⚘☝🏻Aur farmata hai :

*⚘✧➤TARJAMA:-* "Jo chahe imaan lae aur jo chahe kufr kare"

⚘✧➤ Is Bare mein mazhab e Ahle Sunnat waljama'at

⚘✧➤ Oopar ke bayaan se aap par zahir ho gaya ki dono'n batil firqe qadariya aur jabariya ne taqdeer ke mamle mein sakht galti kee aur ek ne taqdeer ka sire se inkar kar diya aur insaan hee ko uske af'aal ka khaliq aur mukammal taur par qadir maa'n liya jab ki doosre ne insaan ko lakadi patthar aur mitti ke delon kee tarah bilkul majboor qarar de diya, lekin rahe haq jo Ahle sunnat waljama'at ka aqeeda hai aur Quran w hadees ke mutabiq hai wah darmiyani rasta hai Ahle sunnat ka Aqeeda is bare mein yah raha hai aur aaj bhi hai.

اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه    

http://islahekhwateen.blogspot.com/2018/09/d-r-m-i-y-ni-u-m-m-at.html?m=1 ༺  🌍

╭─━━━──•┉•──━━━━─╮
┣━━───● ɴᵉˣᵗ  ᴘᵒˢᵗ  ᶜᵒⁿᵗⁱⁿᵘᵉ
┣━─●  Gɪʀʟs  Isʟᴀᴍɪᴄ  Gᴜʀᴏᴘ
┣━─●  ʝσเɳ 📲 +91 7566980838  
┣━─●  Talib e Duaa AdmiN Team
╰─━━━──•┉•──━━━━─

αɳωααR - uL เsℓαɱ ★ ɱαɦƒเL ε Dεεɳ

✫                                                           ✫              
    ✫            *✪      ﷽     ✪*            ✫    
✫                                                           ✫    


                            1⃣2⃣

 *⚘ D A R M I Y A NI - U M M AT ⚘*  

*★BISMILLAHIRRAHMANIRRAHIM★*

       ⇩◑      *✫ HaDees ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘✧➤ Insaan koie accha kaam kare Ya bura, wah us kaam ko karne ka Iraada Karta hai aur Allah ta'ala us fel ( kaam ) ko paida farma deta hai tou khaliq Allah ta'ala hee hai aur wah kaam agarche Allah ta'ala ke ilm mein pahle se hai lekin iski takleeq aur paidaish insaan ke Iraada karne ke baad hee wujood mein aate hain aur ped, paudhe patthar kee tarah poori tarah majboor be -irada aur be-niyat aur be-aql hai  ( jaisa ki jabriya ka khayaal hai ) Seedha rasta darmiyan mein hai yani khaliq w qadire mutalaq aur moojid har shay ka  ( har cheez ka banane wala ) Allah hee hai lekin insaan kee karni mein choonki uska Iraada bhi shamil hai lihaza wah jaza aur saza ka musthaq hai zahir hai ki insaan mein aql Allah ta'ala ne paida farmaee hai aur acche bure ko nafa w nuqsaan ko samajhane kee salahiyat usko ata farmaee hai aur paigambaron ko bhej kar uski aql kee rahnumaee farmai hai aur ped paudhon ko lakadi aur pattharon ko yah nemat nahin dee gaee hai lihaza is kee aur unki harkat w sakanat aur af'aal mein farq karna hoga agar kisi insaan ke sir par pahad se patthar ya ped se thana toot kar gir jae aur wah kuchal kar Mar jae tou us pahad ya darakht ko koie duniya ka kort saza nahin deta aur isi patthar ya tahane ko koie insaan kisi ke sir per Gira De tou wah laiqe saza qarar diya jae , aakhir kyon ?

*📬 [ Ref >> Darmiyani ummat page, 27,28,29,30 ]*

اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه    

http://islahekhwateen.blogspot.com/2018/09/d-r-m-i-y-ni-u-m-m-at.html?m=1 ༺  🌍

╭─━━━──•┉•──━━━━─╮
┣━━───● ɴᵉˣᵗ  ᴘᵒˢᵗ  ᶜᵒⁿᵗⁱⁿᵘᵉ
┣━─●  Gɪʀʟs  Isʟᴀᴍɪᴄ  Gᴜʀᴏᴘ
┣━─●  ʝσเɳ 📲 +91 7566980838  
┣━─●  Talib e Duaa AdmiN Team
╰─━━━──•┉•──━━━━─

αɳωααR - uL เsℓαɱ ★ ɱαɦƒเL ε Dεεɳ

✫                                                           ✫              
    ✫            *✪      ﷽     ✪*            ✫    
✫                                                           ✫    


                            1⃣3⃣

 *⚘ D A R M I Y A NI - U M M AT ⚘*  

*★BISMILLAHIRRAHMANIRRAHIM★*

       ⇩◑      *✫ HaDees ✫*      ◑⇩
                     •──────•

*● ⚘✧ ⚘☆ JABARIYA ☆⚘ ✧ ⚘●*

⚘✧➤ Baat yahi hai ki insaan k kaam uske Iraade, niyat , khayal aur chahane k baad hee Allah ta'ala k irade se wujood mein aate hain aur ped, paudhon, pattharon mein Iraada karne aur chshane ka koie matlab hee nahin balki insaan se bhi kabhi-kabhi be-Iraada harkat w af'aal ka sudoor hota hai maslan kisi insaan ko rasha yani hath ya sir mein kapkapane aur hilne kee beemari ho aur uska hath ya sir khud-ba-khud hilta rahta ho aur ek shakhs janboojh kar apna hath ya sir hilae tou us raash k beemar aur us tandaroost kee harkat mein farq zaroori hai yaha'n tak ki insaan se bhi agar koie galat kaam uske Iraade aur chahe bagair wujood mein aa jaae tou us par uski pakad nahin maslan ek wah aurat ki jisko chand log zabardastii pakad kar aur usko nanga karke uske sath zina karein aur ek wah aurat jo baraee khushi badkari karaye ek wah shakhs jisko chand log daboch kar kisi tarah uske pet mein sharaab pahuncha de aur wah usko napasand karta hai aur ek wah jo sharaab kee dukan par khud jaae aur khareede aur piye tou jis aurat k sath zabardasti majboor karke zina kiya gaya aur jiske pet mein majboor karke sharaab pahuncha dee gaee un par koie gunah aur pakad nahin kyonki usmein unke Iraada aur chshane ko dakhal nahin tou gunah w azaab tabhi hai jab ki insaan ka Iraada is fel mein shamil ho yaha'n tak ki is qism k saikdon masail ko tafseel se bayaan karne k liye Islami hadees w fiqh kee kitabon mein "babul ikraah" k naam se mustaqil ek unwaan bandha gaya hai

⚘✧➤ Yani "Maboor karne ka bayaan"

⚘✧➤  Saheeh Bukhari ,  Jild 2 ) mein isi unwaan k tahat ek hadees mein hai ki ek shakhs ne ek ladki k sath jabran zina kiya tou Hazrate umar farooqe e Azam Razi'allahu ta'ala anhu ne us mard ko saza dee lekin us ladki ko saza nahi'n dee.

اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه    

http://islahekhwateen.blogspot.com/2018/09/d-r-m-i-y-ni-u-m-m-at.html?m=1 ༺  🌍

╭─━━━──•┉•──━━━━─╮
┣━━───● ɴᵉˣᵗ  ᴘᵒˢᵗ  ᶜᵒⁿᵗⁱⁿᵘᵉ
┣━─●  Gɪʀʟs  Isʟᴀᴍɪᴄ  Gᴜʀᴏᴘ
┣━─●  ʝσเɳ 📲 +91 7566980838  
┣━─●  Talib e Duaa AdmiN Team
╰─━━━──•┉•──━━━━─

αɳωααR - uL เsℓαɱ ★ ɱαɦƒเL ε Dεεɳ

✫                                                           ✫              
    ✫            *✪      ﷽     ✪*            ✫    
✫                                                           ✫    


                            1⃣4⃣

 *⚘ D A R M I Y A NI - U M M AT ⚘*  

*★BISMILLAHIRRAHMANIRRAHIM★*

       ⇩◑      *✫ HaDees ✫*      ◑⇩
                     •──────•

⚘✧➤ Ek Hadees mein hai ki Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne farmaya ki Ae Ali jab kisi ( Ajnabi aurat k chehre ya badan ) par tumhari ek nazar pad jaae tou doosre nazar us par mat dalo , pahli nazar mein tumhare liye koie gunah nahi'n aur doosri tumhare lie jaiz nahi'n

*📬 [ Ref >> Mishkat  Babunnazar Ilal Makhtoobah, Safah 269 ]*

⚘✧➤ Zahir hai ki pahli nazar isiliye maaf hai ki ismein insaan k qasd w Iraade aur niyat ko dakhal nahi'n hota aur yah wah nazar hai jo achanak kisi aurat k chehre par pad jati hai tou yah baat wazeh hai ki insaan galat kaam karne mein tabhi gunaahgar aur azaab ka sazawaar hai jib ki usmein uska Iraada shamil ho aur jab uska apna Iraada shamil hai tou usko saza milna aur us par azaab hona hee chahiye aur kisi bhi iman w aql wale ko ismein shak nahi'n hona chahiye isi mas'ale ko jo shakhs aur bhi zyada tafseel tahqeeq k saath dalail kee raushni mein samajhna chahe

⚘✧➤ Wah Aala Hazrat Mauala Shah Ahmed Raza Kha'n Rahmatullahi  Alih kee likhi huie kitabon ka muta'ala kare,

اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه    

http://islahekhwateen.blogspot.com/2018/09/d-r-m-i-y-ni-u-m-m-at.html?m=1 ༺  🌍

╭─━━━──•┉•──━━━━─╮
┣━━───● ɴᵉˣᵗ  ᴘᵒˢᵗ  ᶜᵒⁿᵗⁱⁿᵘᵉ
┣━─●  Gɪʀʟs  Isʟᴀᴍɪᴄ  Gᴜʀᴏᴘ
┣━─●  ʝσเɳ 📲 +91 7566980838  
┣━─●  Talib e Duaa AdmiN Team
╰─━━━──•┉•──━━━━─

αɳωααR - uL เsℓαɱ ★ ɱαɦƒเL ε Dεεɳ

_*🕋 ⚘ мαιiκo  мoια  κi  βααяgαн - Ё - Aαιiγα  мαi  Dυα  нαi  мαιiκo  мoια  нαмε  κεнηε, Sυηηε, ραdнηε, ιiκнηε,  βoιηε  Sε  Ziγαdα  Aмαι  κi  τofεεq - Ё - яαfεεq  Aτα   Fαямαγε.*_

              ⚘ امين  يارب العالمين ⚘

                       _*ταιiβ-Ё-Dυα*_
          _*мαяноомα ƒαƭเɱα βεgαм*_
       *_мαянοοм мυнαммα∂ ѕι∂∂ιգ_*
          *_Tαɱαɱ ααLαɱ ε αrωααɦ_*

Comments

Popular posts from this blog

SEERAT E GHOUS E AZAM

🎁 Tοнƒα  🅔  AмαN 🎁

🌷 सिरते मुस्तफा ﷺ 💐