🌹⚔ SHAHADAT-E-HUSAIN RADIALLAHU TAALA ANHU ⚔🌹
🌷★الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ★🌷
اَلۡـحَـمۡـدُ لِـلّٰـہِ رَبِّ الۡـعٰـلَـمِیۡنَ وَ الـصَّـلٰـوۃُ وَ الـسَّـلَامُ عَـلٰی سَـیِّـدِ الۡـمُـرۡ سَـلِـیۡنَ اَمَّـا بَــعۡـدُ فَـاَعُـوۡذُ بِـا لـلّٰـہِ مِـنَ الـشَّـیۡـطٰنِ الـرَّجِیۡمِ ؕ بِـسۡمِ الـلّٰـہِ الـرَّحۡـمٰنِ الـرَّحِـیۡمِؕ
🌷📖 ✧➤ KiTaB Padhne ki Du’a Deeni KiTaB Ya IsLami SaBaQ PadHne Se pehLe Ye Mayne Di Hui Du’a parh Lijiye اِنْ شَــآءَالـلّٰـه عَزَّوَجَلَّ jo kucH Padhenge Yaad RaHega Du’a Ye hain..★↷
اَللّٰهُمَّ افۡتَحۡ عَلَيۡنَا حِكۡمَتَكَ وَانۡشُرۡ عَلَيۡنَا رَحۡمَتَكَ يَـا ذَا الۡجَلَالِ وَالۡاِكۡرَام
⚘ Tarjuma ❁☞ Ay Allah عَزَّوَجَلَّ! عَزَّوَجَلَّ Hum per ‘Ilm-o-HikmaT ke Darwazay khoL De aur Hum par apni rahmaT Nazil farma Ay AzmaT aur Buzurgi waLe
*📬 AL-Mustatraf, jiLd. 1, page 40 📚*
*⚠ NOTE* AwwaL aakhir Durood-e-pak Padh Len..✍
☆ *Elm Noo® Hai Guro🅿* ☆
🕋﷽🕋
❥═❥ ❥~ ilm e deen ~❥ ❥═❥
ραιgαм є υммατє мυнαммα∂ι ﷺ
🅿🅾ST ➪ 0⃣1⃣
❑──────────────╮
*SHAHADAT-E-HUSAIN*
*RADIALLAHU TAALA ANHU*
❑──────────────╯
●BISMILLAHIRRAHMANI RRAHIM●
*🌹 ✿ MUHARRAM UL HARAAM- FAZAIL O MASAIL ✿ 🌹*
*◆ MUHARRAM KI HAQEEQAT ◆*
✦⇒ Sabse pehle baat yaha se chalti he k ye Mahina muazzam v mohatram he ya Manhoos??
✦⇒ Baaz log ise samajhte hai'n aur vajah iski ye he k inke nazdeek shahadat bahut buri aur manhoos cheez he aur chuki Hazrat Husain RadiAllahu Taala Anhu Ki shahadat isme hui he isliye isme koi takreeb aur khushi ka kaam shadi, nikah vagerah nahi karte, iske bar-aks musalmano ke yaha ye mahina mohatram, muazzam aur fazilat wala he, Moharram ke ma'ani hi mohatram, muazzam aur muqaddas ke he, Aam tor per ye khayal kiya jata he k is mahine ko isliye fazilat mili k Hazrat Husain RadiAllahu Taala Anhu ki shahadat is me hui, ye galat he, is mahine ki fazilat islaam se bhi pehle se he,
✦⇒Bani israa'il ko Hazrat Musa Alayhissalam ke saath Fir'on se isi din me nijaat hui, is ni'amat ke Adaa'e shukr ke tor per is din ke Roza ka hukm hua, aur bhi bahit si fazilat ki cheeze isme hui hai'n, Albatta yu kahenge k Hazrat Husain RadiAllahu Taala Anhu ki shahadat me zyada fazilat isliye hui k ese fazilat wale maah me waqa'i hui,
✦⇒ Jab se ye sabit hua k ye mahina aur din afzal he to is me nek kaam bahut zyada karne chahiye, Nikah vagerah , Khushi ki taqribaat bhi isme zyada karni chahiye, isse shadi me barkat hogi lekin ye badi baat isliye k bahut Dino se ye galat baate koot koot kar dil me bhari hui he, 100 saal ka Raam bhara hua jaldi se nahi nikalta, wo nikalte hi nikalta he,
*[ Shahadat e husain RadiAllahu Taala Anhu, Safa no,26 ]*📚.,✒
Next - 02 © ontinue in sha Allah
•─━━━━━════━━━━━─•
🌐 ᴊᴏɪɴ ɢʀᴏᴜᴘ *ᴏɴʟɪʏ ʟᴀᴅɪᴇs*
☎ 7566980838 •─•• 📲
*🤲"ƊƲƛƛƠƝ MЄ ƳƛƛƊ ƦƛƘHЄƝ.✍*
___▁▁▂▂▃▃▄▄▃▃▂▂▁▁___
*ɪsʟᴀʜ sʙᴋɪ ᴋʀɴɪ ʜᴀɪ ɪɴ sʜᴀᴀ ᴀʟʟᴀʜ*
☆ *Elm Noo® Hai Guro🅿* ☆
🕋﷽🕋
❥═❥ ❥~ ilm e deen ~❥ ❥═❥
ραιgαм є υммατє мυнαммα∂ι ﷺ
🅿🅾ST ➪ 0⃣2⃣
❑──────────────╮
*SHAHADAT-E-HUSAIN*
*RADIALLAHU TAALA ANHU*
❑──────────────╯
●BISMILLAHIRRAHMANI RRAHIM●
*🌹 ✿ MUHARRAM UL HARAAM- FAZAIL O MASAIL ✿ 🌹*
*◆ 9 OR 10 MUHARRAM KA ROZA ◆*
✦⇒ Sahi Bukhari me Hazrat Ibne Abbas RadiAllahu Taala Anhu se Rivayat he k Janabe Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam Madina: Tayyaba me tashrif laye to yahood ko dekha k wo is din ko roza rakha karte hai, Aap (Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam) ne farmaya," Tum roza kyu rakhte ho? " kehne lage, ye bahut achchha din he, is din me Haq Ta'aala ne bani israa'il ko unke dushman Firon se nijaat di thi, isliye Hazrat Musa Alayhissalam ne is din ka roza rakha, ye sunkar Aap ( Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ) ne irshad farmaya, k hum banisbat tumhare Hazrat Musa Alayhissalam ki muvafqat ke zyada haqdaar hai'n, Fir Asp ( Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ) ne khud bhi roza rakha aur Sahaba ikram RadiAllahu Taala Anhu ko bhi is din Roza ka hukm diya,
✦⇒ Sahi Muslim me Hazrat Abu Haraira RadiAllahu Taala Anhu se Rivayat he k Ramzaan ke baad afzal roza Muharram ka he, aur Farz namaz ke baad afzal namaz tahajjud ki namaz he,
✦⇒ Huzur Aqdas Sallallahu Alayhivasallam ki hayaat taiyaba me jab bhi Ashura ka din aata Aap ( Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ) Roza rakhte lekin wafaat se pehle Jo Ashura ka din aaya to Aap ( Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ) ne Ashura ka roza rakha aur saath hi ye bhi irshad farmaya k 10 Muharram ko hum bhi roza rakhte hai'n aur Yahood bhi roza rakhte hai'n, jiski vajah se unke saath halki mushabhat paida ho jati he, isliye agar me aa'inda saal zinda raha to sirf Ashura ka roza nahi rakhunga balki uske saath ek roza aur mila'unga, 9 Muharram ka roza bhi rakhunga taki Yahoodiyo'n ke saath mushabhat khatm ho jaye,
✦⇒ Lekin agle saal Ashura ka din aane se pehle Huzur Aqdas Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ka visaal ho gaya aur Aap ( Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ) ko is per amal ka mauka nahi mila, lekin chunki Aap ( Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ) ne ye baat irshad farma di thi isliye Sahaba ikram RadiAllahu Taala Anhu ne Ashura ke roze me is baat ka ahatmam kiya aur 9 ya 11 Muharram ka ek roza aur mila kar rakha, aur isko mustahab qaraar diya aur tanha Ashura ka roza rakhne ko Huzur ( Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ) ke irshad ki roshni me makrooh tanzihi aur khilafe aula qaraar diya,
*[ Shahadat e husain RadiAllahu Taala Anhu,Safa no,27 ]* 📚.,✒
Next - 03 © ontinue in sha Allah
•─━━━━━════━━━━━─•
🌐 ᴊᴏɪɴ ɢʀᴏᴜᴘ *ᴏɴʟɪʏ ʟᴀᴅɪᴇs*
☎ 7566980838 •─•• 📲
*🤲"ƊƲƛƛƠƝ MЄ ƳƛƛƊ ƦƛƘHЄƝ.✍*
___▁▁▂▂▃▃▄▄▃▃▂▂▁▁___
*ɪsʟᴀʜ sʙᴋɪ ᴋʀɴɪ ʜᴀɪ ɪɴ sʜᴀᴀ ᴀʟʟᴀʜ*
☆ *Elm Noo® Hai Guro🅿* ☆
🕋﷽🕋
❥═❥ ❥~ ilm e deen ~❥ ❥═❥
ραιgαм є υммατє мυнαммα∂ι ﷺ
🅿🅾ST ➪ 0⃣3⃣
❑──────────────╮
*SHAHADAT-E-HUSAIN*
*RADIALLAHU TAALA ANHU*
❑──────────────╯
●BISMILLAHIRRAHMANI RRAHIM●
*🌹 ✿ MUHARRAM UL HARAAM- FAZAIL O MASAIL ✿ 🌹*
*◆ 9 OR 10 MUHARRAM KA ROZA ◆*
✦⇒ Rasool Akram Sallallahu Alyhivasallam ke is irshad me hume ek sabaq aur mila k gair muslimo'n ke saath adna mushabhat bhi Huzur Sallallahu Alyhivasallam ne pasand nahi farmai halanki wo mushabhat kisi bure aur najaa'iz kaam me nahi thi balki ek ibadat me mushabhat thi k is din Jo ibadat wo kar rahe hai'n, usi din hum bhi wahi ibadat kar rahe hai'n, lekin Aap S A ne isko bhi pasand nahi farmaya, *kyu ?* isliye k Allah ta'ala ne musalmano ko deen ataa farmaya he wo saare Deeno se mumtaaz he,
✦⇒ Jab ibadat, bandgi aur neki ke kaam me bhi Nabi Kareem Sallallahu Alyhivasallam ne mushabhat pasand nahi farmai to aur kaamo me musalman agar unki mushabhat akhtyar kare to kitni buri baat hogi, agar ye mushabhat jaan boojhkar is maqsad se akhtyar ki jaye k un jesa nazar aaou'n to ye Gunahe Kabeera he,
*[ Shahadat e husain RadiAllahu Taala Anhu, Safa no,27 ]*📚.,✒
Next - 04 © ontinue in sha Allah
•─━━━━━════━━━━━─•
🌐 ᴊᴏɪɴ ɢʀᴏᴜᴘ *ᴏɴʟɪʏ ʟᴀᴅɪᴇs*
☎ 7566980838 •─•• 📲
*🤲"ƊƲƛƛƠƝ MЄ ƳƛƛƊ ƦƛƘHЄƝ.✍*
___▁▁▂▂▃▃▄▄▃▃▂▂▁▁___
*ɪsʟᴀʜ sʙᴋɪ ᴋʀɴɪ ʜᴀɪ ɪɴ sʜᴀᴀ ᴀʟʟᴀʜ*
☆ *Elm Noo® Hai Guro🅿* ☆
🕋﷽🕋
❥═❥ ❥~ ilm e deen ~❥ ❥═❥
ραιgαм є υммατє мυнαммα∂ι ﷺ
🅿🅾ST ➪ 0⃣4⃣
❑──────────────╮
*SHAHADAT-E-HUSAIN*
*RADIALLAHU TAALA ANHU*
❑──────────────╯
●BISMILLAHIRRAHMANI RRAHIM●
*🌹 ✿ MUHARRAM UL HARAAM- FAZAIL O MASAIL ✿ 🌹*
*◆ 10 MUHARRAM ME PESH AANE WALE AHAM WAQIYAT ◆*
✦ [ 1 ]⇒ Hazrat Aadam Alaihissalam ki toba ki Maqbuliyat,
✦ [ 2 ]⇒ Firon se Hazrat Moosa Alaihissalam aur unki qaum ki nijaat,
✦ [ 3 ] ⇒ Kashti e Nooh Alaihissalam isi din Jodi pahaad par thehri,
✦ [ 4 ] ⇒ Hazrat Yunus Alaihissalam isi din Machhli ke pet se bahar aae,
✦ [ 5 ] ⇒ Hazrat Yusuf Alaihissalam ka Kunve se nikalna,
✦ [ 6 ] ⇒ Hazrat Isa Alaihissalam ki wiladat aur Aasmano par uthaya Jana,
✦ [ 7 ] ⇒ Hazrat Daoud Alaihissalam ki tauba,
✦ [ 8 ] ⇒ Hazrat Ibrahim Alaihissalam ki wiladat,
✦ [ 9 ] ⇒ Haztat Ya'aqoob Alaihissalam ki binaa'i ka lautna,
✦ [ 10 ] ⇒ isi din Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki agli pichhli lagzishe Haq Ta'aala ne maaf kar di,
✦ ⇒ Ye 10 Waqiyaat Sharah Bukhari me hai'n, iske alawa baaz kutub me aur bade bade waq'aat ko shumar kiya he Jo Ashura ke din hue, chand ye hai'n -
✦ [ 1 ] ⇒ Hazrat Aadam Alaihissalam ka nabuwat ke liye muntkhab hona,
✦ [ 2 ] ⇒Hazrat Idrees Alaihissalam ka Aasmano ki taraf uthaya Jana,
✦ [ 3 ] ⇒ Haq Ta'aala ka Hazrat Ibrahim Alaihissalam ko khalifa banana,
✦ [ 4 ] ⇒ Huzur Akram Sallallahu Alaihivasallam ka Hazrat Khadija Radiyallahu anha se Nikah bhi isi din hua,
✦ [ 5 ] ⇒ isi din Qayamat qaa'im hogi,
✦ [ 6 ] ⇒ is din me Sayyadna Hazrat Husain Radiyallahu anhu ki shahadat ka waqiyaa pesh aaya,
*[ Shahadat e husain RadiAllahu Taala Anhu, Safa no,28 ]*📚.,✒
Next - 05 © ontinue in sha Allah
•─━━━━━════━━━━━─•
🌐 ᴊᴏɪɴ ɢʀᴏᴜᴘ *ᴏɴʟɪʏ ʟᴀᴅɪᴇs*
☎ 7566980838 •─•• 📲
*🤲"ƊƲƛƛƠƝ MЄ ƳƛƛƊ ƦƛƘHЄƝ.✍*
___▁▁▂▂▃▃▄▄▃▃▂▂▁▁___
*ɪsʟᴀʜ sʙᴋɪ ᴋʀɴɪ ʜᴀɪ ɪɴ sʜᴀᴀ ᴀʟʟᴀʜ*
☆ *Elm Noo® Hai Guro🅿* ☆
🕋﷽🕋
❥═❥ ❥~ ilm e deen ~❥ ❥═❥
ραιgαм є υммατє мυнαммα∂ι ﷺ
🅿🅾ST ➪ 0⃣5⃣
❑──────────────╮
*SHAHADAT-E-HUSAIN*
*RADIALLAHU TAALA ANHU*
❑──────────────╯
●BISMILLAHIRRAHMANI RRAHIM●
*🌹 ✿ MUHARRAM UL HARAAM- FAZAIL O MASAIL ✿ 🌹*
*◆ AHAL O AYAAL PAR VUS'AT ◆*
✦⇒ Imaam Behki RadiAllahu Taala Anhu ne Hadees bayaan farmayi he k Janabe Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya Jo shakhs Ashura ke din Ahal o Ayaar vus'at karega Allah ta'ala saare saal farakh rozi ataa farmata he
✦⇒ Hadees ke Raavi Hazrat Sufiyan bin Ayniyah Rd farmate hain k humne Tajurba kiya he isko durust paya he, magar isko zaroori na samjhe Or na had se zyada aha Ahtamam kare aur jab Ahal o Ayaal par vus'at kare to ghareeb hamsaya ke yaha bhi bhejo.
*[ Shahadat e husain RadiAllahu Taala Anhu, Safa no,27 ]*📚.,✒
Next - 06 © ontinue in sha Allah
•─━━━━━════━━━━━─•
🌐 ᴊᴏɪɴ ɢʀᴏᴜᴘ *ᴏɴʟɪʏ ʟᴀᴅɪᴇs*
☎ 7566980838 •─•• 📲
*🤲"ƊƲƛƛƠƝ MЄ ƳƛƛƊ ƦƛƘHЄƝ.✍*
___▁▁▂▂▃▃▄▄▃▃▂▂▁▁___
*ɪsʟᴀʜ sʙᴋɪ ᴋʀɴɪ ʜᴀɪ ɪɴ sʜᴀᴀ ᴀʟʟᴀʜ*
☆ *Elm Noo® Hai Guro🅿* ☆
🕋﷽🕋
❥═❥ ❥~ ilm e deen ~❥ ❥═❥
ραιgαм є υммατє мυнαммα∂ι ﷺ
🅿🅾ST ➪ 0⃣6⃣
❑──────────────╮
*SHAHADAT-E-HUSAIN*
*RADIALLAHU TAALA ANHU*
❑──────────────╯
●BISMILLAHIRRAHMANI RRAHIM●
*🌹 ✿ MUHARRAM UL HARAAM- FAZAIL O MASAIL ✿ 🌹*
*◆ MUHARRAM AUR ASHURA KE DIN NAJAA'IZ KAAM ◆*
✦ [ 1 ].⇒ Maatam, Noha, karna aur Sog Manana
✦⇒ Maahe Muharram ko baaz log manhoos Mahina samajhte hain halanki ( jesa pehle guzar chuka) ye Mahina Mubarak he, bade bade azeem waqiyaat is maah me pesh aae hain,
✦⇒ Kai log is maah me khususan Ashura ke din Maatam karte hain, aur gham ka izhar karte hain, ye gunah he, islaam hume sabr aur istqamat ki taleem deta he, zor zor se Rona peetna, kapde faadna, chhatiyo ko peetna, islami talimaat se koso door he,
✦⇒ Islaam ka hukm ye he k kisi ke marne se 3 din ke baad gham ka izhar na Karo aur na hi sog manao, sirf Aurat apne shohar ke marne ke baad 4 maah 10 din sog manaye, Shohar ke alawa kisi aur ka chahe wo baap ho, bhai ho ya beta 3 din se zyada sog manana jaa'iz nahi,
✦⇒ Sahi Bukhari ki hadees he k Ummul Momineen Hazrat Umme Habiba Radiyallahu anha ko apne walid ki wafaat ki khabar pahunchi to 3 din ke baad khushbu mangayi aur chehre ko lagai aur farmaya-
K mujhe iski zaroorat nahi thi ( kyuki budi ho chuki thi aur khawind yani Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki wafaat ho chuki thi) lekin mene baap ka sog khatm karne ke liye khushbu lagayi kyuki mene Huzur Sallallahu Alaihivasallam se suna k kisi musalman aurat ke liye 3 din se zyada sog manana jaa'iz nahi,
✦⇒ is Hadees Mubarak se maloom hua k 3 din se zyada sog Manana jaa'iz nahi, baaz log Sayyadna Hazrat Husain Radiyallahu Anhu ka Sog manate hain, Muharram me acche kapde nahi pehante, bivi ke qareeb nahi jate, charpaiyon ko ulta kar dete hain vagera vagera, halanki Hazrat Husain Radiyallahu Anhu ki shahadat ko taqriban 1400 saal se bhi zyada ho chuke, ye na-waqfiyat ki baate hain,
🤲🏻▫Allah ta'ala hum sabko hidayat par rakhe,Or tamaam baton par AmaL karne ki tofeeq ata farmaye. *AAMEEN YA RABBUL ALAMEEN...!!🌹*
*[ Shahadat e husain RadiAllahu Taala Anhu, Safa no,29 ]*📚.,✒
Next - 07 © ontinue in sha Allah
•─━━━━━════━━━━━─•
🌐 ᴊᴏɪɴ ɢʀᴏᴜᴘ *ᴏɴʟɪʏ ʟᴀᴅɪᴇs*
☎ 7566980838 •─•• 📲
*🤲"ƊƲƛƛƠƝ MЄ ƳƛƛƊ ƦƛƘHЄƝ.✍*
___▁▁▂▂▃▃▄▄▃▃▂▂▁▁___
*ɪsʟᴀʜ sʙᴋɪ ᴋʀɴɪ ʜᴀɪ ɪɴ sʜᴀᴀ ᴀʟʟᴀʜ*
☆ *Elm Noo® Hai Guro🅿* ☆
🕋﷽🕋
❥═❥ ❥~ ilm e deen ~❥ ❥═❥
ραιgαм є υммατє мυнαммα∂ι ﷺ
🅿🅾ST ➪ 0⃣7⃣
❑──────────────╮
*SHAHADAT-E-HUSAIN*
*RADIALLAHU TAALA ANHU*
❑──────────────╯
●BISMILLAHIRRAHMANI RRAHIM●
*🌹 ✿ MUHARRAM UL HARAAM- FAZAIL O MASAIL ✿ 🌹*
*◆ MUHARRAM AUR ASURA KE DIN NAJAA'IZ- KAAM ◆*
✦[ 2 ]⇒ Isaale Sawab ke Liye Khana Pakana
✦⇒ Muharram ke mahine me bil khusoos 9 vi, 10 vi aur 11 vi Tareekh me khana paka kar Hazrat Husain Radiyallahu Anhu ki rooh ko isaale sawab karte hain,
✦⇒ Isaale sawab ka sabse afzal tareeqa ye he k apni haisiyat ke mutabik naqad rakam kisi khair ke kaam me laga de ya kisi mohtaz miskeen ko de de, ye tareeqa isliye afzal he k isse miskeen apni har hajat puri kar sakega aur aaj use koi zarurat nahi to kal ki zarurat ke liye rakh sakta he, ye Surat dikhawe se bhi paak he,
✦⇒ Hadees Paak me makhfi( secret) sadqa dene wale ki ye fazilat warid hui he k aise shakhs ko Allah ta'ala baroze qayamat arsh ke saaye me jagah inayat farmaenge jabki koi aur saaya na hoga aur shadeed garmi se log pasino me gharq ho rahe honge,
✦⇒ Fazilat ke lihaaz se doosre darje par ye Surat he k miskeen ki haajat ke mutabik sadqa diya jaye yani uski zarurat ko dekh kar use poora kiya jaye,
✦⇒ Ye isaale sawab ki sahi suraten hain,
*[ Shahadat e husain RadiAllahu Taala Anhu, Safa no,30 ]*📚.,✒
Next - 08 © ontinue in sha Allah
•─━━━━━════━━━━━─•
🌐 ᴊᴏɪɴ ɢʀᴏᴜᴘ *ᴏɴʟɪʏ ʟᴀᴅɪᴇs*
☎ 7566980838 •─•• 📲
*🤲"ƊƲƛƛƠƝ MЄ ƳƛƛƊ ƦƛƘHЄƝ.✍*
___▁▁▂▂▃▃▄▄▃▃▂▂▁▁___
*ɪsʟᴀʜ sʙᴋɪ ᴋʀɴɪ ʜᴀɪ ɪɴ sʜᴀᴀ ᴀʟʟᴀʜ*
☆ *Elm Noo® Hai Guro🅿* ☆
🕋﷽🕋
❥═❥ ❥~ ilm e deen ~❥ ❥═❥
ραιgαм є υммατє мυнαммα∂ι ﷺ
🅿🅾ST ➪ 0⃣8⃣
❑──────────────╮
*SHAHADAT-E-HUSAIN*
*RADIALLAHU TAALA ANHU*
❑──────────────╯
●BISMILLAHIRRAHMANI RRAHIM●
*🌹 ✿ MUHARRAM UL HARAAM- FAZAIL O MASAIL ✿ 🌹*
*◆ MUHARRAM AUR ASURA KE DIN NAJAA'IZ KAAM ◆*
✦[ 3 ]⇒ 10 VI MUHARRAM KI CHHUTTI
✦⇒ Kai log 10 vi Muharram ki chutti karna zaroori samajhte hain aur isko Sayyadna Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ki shahadat ka sog samajhte hain, halanki 3 din ke baad sog manana jaaiz nahi he aur shari'at ne kisi bhi din kaam kaaj karne se mana nahi kiya, Namaze juma aur Namaze eid ke baad bhi apna karobaar kar sakte hain,
*✦[ 4 ]⇒QABRO KI LEEPA POTI*
✦⇒ Qabro ki leepa Poti jaa'iz he lekin is kaam ke liye sirf maahe muharram ko mukarrar karna durust nahi, Jab bhi moqa ho leepa poti kara sakte hain, Qabro'n ki ziyarat sawab he kyuki inko dekhne se maut yaad aati he magar is kaam ke liye 10 Muharram ko mukarrar karte hai'n aur saal me sirf isi din qabristan jate hai'n aur aage pichhe kabhi bhool kar bhi nahi jate, ye sahi nahi he,
✦⇒ kuchh log Ashura ke din qabro'n per sabz chhadiya'n rakhte hai'n aur ye samajhte hai'n k isse murde ka azaab tal jata he, is amal ke iltzam me bahut kharabiya he, maslan gair laazim ko laazim samjha jata he, baaz log azaab tal jane ko laazmi khayal karte hai'n aur ye sahi nahi,
*✦⇒ QABRO KI JIYARAT KE MASAIL,*
✦⇒ Qabro ke paas se Guzre to " Assalamualaikum ya ahlal quboor " keh Lena chahiye,
✦⇒ Qabristan Jane ke liye koi din or koi khaas waqt ki taleem nahi di gayi, jab chahe ja sakte hai, lekin Qabristan Jane ka maqsad isaale sawab or ibrat hasil karna ho,
✦⇒ Shabe Baraat or Jume ke din qabristan Jana sabit he,
*✦⇒ QABRISTAN ME DUA OR FATEHA KA TAREEKA,*
✦⇒ Sabse pehle Salam karna,
✦⇒ phir jis qadar mumkin ho unke liye DUA, Astagfar kare or Qurane Kareem padkar isaale sawab kare,
✦⇒ Baaz rivayaat me Surah fatiha, Surah Yaseen, Tabarakallazi, Zilzaal, Takasur, Surah IKHLAS, Ayatal kursi ki fazilate aayi he,
✦⇒ Qabr ki taraf moonh karke Dua na kare, Fatawa Aalamgeeri me (safa 350,jild 5) me likha he k Qabr per Fateha, isaale sawab ke liye DUA manage to Qabr ki taraf Rukh na kare balki Qabr ki taraf pusht kare or Qibla ki taraf moonh karke Dua manage,
✦⇒ Qabr per buland awaz se Qurane Kareem padna makrooh he, Ahista pad sakte hai,
⚄→ Qabristan me Aurto'n ke Jane me ikhtilaf he,, sahi ye he k jawan Aurte'n hargiz na jaye, Budi ( old ) Aurte'n ja sakti he lekin waha koi khilafe shara koi kaam na kare to gunza'ish he,
*[ Aapke masail aur unka Hal,Jild-3,.📔]*
*[ Shahadat e husain RadiAllahu Taala Anhu, Safa no,32 ]*📚.,✒
Next - 09 © ontinue in sha Allah
•─━━━━━════━━━━━─•
🌐 ᴊᴏɪɴ ɢʀᴏᴜᴘ *ᴏɴʟɪʏ ʟᴀᴅɪᴇs*
☎ 7566980838 •─•• 📲
*🤲"ƊƲƛƛƠƝ MЄ ƳƛƛƊ ƦƛƘHЄƝ.✍*
___▁▁▂▂▃▃▄▄▃▃▂▂▁▁___
*ɪsʟᴀʜ sʙᴋɪ ᴋʀɴɪ ʜᴀɪ ɪɴ sʜᴀᴀ ᴀʟʟᴀʜ*
☆ *Elm Noo® Hai Guro🅿* ☆
🕋﷽🕋
❥═❥ ❥~ ilm e deen ~❥ ❥═❥
ραιgαм є υммατє мυнαммα∂ι ﷺ
🅿🅾ST ➪ 0⃣9⃣
❑──────────────╮
*SHAHADAT-E-HUSAIN*
*RADIALLAHU TAALA ANHU*
❑──────────────╯
●BISMILLAHIRRAHMANI RRAHIM●
*🌹 ✿ MUHARRAM UL HARAAM- FAZAIL O MASAIL ✿ 🌹*
*◆ MUHARRAM AUR ASHURA KE DIN NAJAA'IZ-KAAM ◆*
✦[ 5 ]⇒MAJALIS E SHAHADAT
✦⇒ Yaume Ashura ko yaume Shahadat Sayyadna Hazrat Husain Raziyallahu Anhu gumaan karna bhi Ahkaame Maatam o Noha girya o zaari o beqarari karna aur ghar ghar Majlise shahadat me shahadat nama ya wafaat nama bayan karna, khaaskar asal rivayaat ke khilaf, Ye haraam he,
✦⇒ Hadees Paak me Aap Sallallahu Alaihivasallam ne marsiyo ( wafaat nama ) se mana farmaya he aur khilafe rivayat bayan karna sab avbaab me haraam he,
✦[ 6 ]⇒ Sabeel lagana, Sharbat, Khichda, taqseem karna
✦⇒ Taqseeme sharbat, khichda, jisme riya, dikhawa ka khaas dakhal he, aur har gani ( rich) aur faqeer ko iska Lena aur isko tabarruk jaanna aur Jo na le usko bura samajhna, us per laan taan karna,Doodh, sharbat ki Sabeel lagana aur uske liye chanda karna aur na dene wale ko bura kehna, khaaskar in Dino me karna,
✦⇒ agar jaan boojhkar sawab ki niyat se karta he to ye Bid'at zalala he aur kisi aur Sadqaat ka Lena gani ( rich), ko makrooh he, aur Sayyad ko haraam he, aur na lene wale ko laan taan karna Fisq he,
➖ Faqat Wallahu Aalam ➖
*[ Shahadat e husain RadiAllahu Taala Anhu, Safa no,33 ]*📚.,✒
Next - 10 © ontinue in sha Allah
•─━━━━━════━━━━━─•
🌐 ᴊᴏɪɴ ɢʀᴏᴜᴘ *ᴏɴʟɪʏ ʟᴀᴅɪᴇs*
☎ 7566980838 •─•• 📲
*🤲"ƊƲƛƛƠƝ MЄ ƳƛƛƊ ƦƛƘHЄƝ.✍*
___▁▁▂▂▃▃▄▄▃▃▂▂▁▁___
*ɪsʟᴀʜ sʙᴋɪ ᴋʀɴɪ ʜᴀɪ ɪɴ sʜᴀᴀ ᴀʟʟᴀʜ*
☆ *Elm Noo® Hai Guro🅿* ☆
🕋﷽🕋
❥═❥ ❥~ ilm e deen ~❥ ❥═❥
ραιgαм є υммατє мυнαммα∂ι ﷺ
🅿🅾ST ➪ 1⃣0⃣
❑──────────────╮
*SHAHADAT-E-HUSAIN*
*RADIALLAHU TAALA ANHU*
❑──────────────╯
●BISMILLAHIRRAHMANI RRAHIM●
*🌹 ✿ MUHARRAM UL HARAAM- FAZAIL O MASAIL ✿ 🌹*
*◆ MUHARRAM AUR ASHURA KE DIN NAJAA'IZ KAAM ◆*
✦[ 6 ]⇒ Muharram me Shadi Na karna
✦⇒ Muharram, Safar aur Shaban me shadi na karna is Aqeede per mubni he k yeh mahine Manhoos hain, isLasm is nazariye ka qaa'il nahi,
✦⇒ Muharram me Sayyadna Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ki shahadat hui he magar isse ye Laazim nahi aata k is mahine me Aqd Nikaah mamnu'a ho gaya, varna har mahine me kisi na kisi shakhsiyat ka visaal hua he, Jo Hazrat Husain Raziyallahu Anhu se bhi buzurgtar the, isse ye Laazim Aayga ke saal ke 12 mahino me kisi me bhi Nikaah na kiya jaye, phir shahadat ke mahine ko Sog nahusat ka mahina samajhna bhi gaLat hai,
*[ Shahadat e husain RadiAllahu Taala Anhu, Safa no,34 ]*📚.,✒
Next - 11 © ontinue in sha Allah
•─━━━━━════━━━━━─•
🌐 ᴊᴏɪɴ ɢʀᴏᴜᴘ *ᴏɴʟɪʏ ʟᴀᴅɪᴇs*
☎ 7566980838 •─•• 📲
*🤲"ƊƲƛƛƠƝ MЄ ƳƛƛƊ ƦƛƘHЄƝ.✍*
___▁▁▂▂▃▃▄▄▃▃▂▂▁▁___
*ɪsʟᴀʜ sʙᴋɪ ᴋʀɴɪ ʜᴀɪ ɪɴ sʜᴀᴀ ᴀʟʟᴀʜ*
☆ *Elm Noo® Hai Guro🅿* ☆
🕋﷽🕋
❥═❥ ❥~ ilm e deen ~❥ ❥═❥
ραιgαм є υммατє мυнαммα∂ι ﷺ
🅿🅾ST ➪ 1⃣1⃣
❑──────────────╮
*SHAHADAT-E-HUSAIN*
*RADIALLAHU TAALA ANHU*
❑──────────────╯
●BISMILLAHIRRAHMANI RRAHIM●
*🌹 ✿ MUHARRAM UL HARAAM- FAZAIL O MASAIL ✿ 🌹*
*◆ 2 MUNKIRAAT E MUHARRAM ◆*
✦[ 1 ]⇒ Sayyadna Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ko imaam kehne ki Kya Haisiyat he??
✦⇒ Imaam ka lafz ahle haqq ke yaha bhi istemal hota he aur Shiya ke yaha bhi,
✦⇒ Ahle haq ke yaha iske ma'ani Peshwa, Rehbar, aur Muqtada ke he,
✦⇒ Ahle Tashee'a ( Shiya log) ke yaha imaam aalimul gaib aur masoom hote hain, unke yaha imaam ka darja Nabiyo'n se bhi bada hota he,
✦⇒ Zahir he is lafz ( imaam) ke istemal me hum to wahi matlab malhooz rakhte hai'n Jo ahle haqq ke yaha he, is etbaar se tamaam Sahaba ikram, Taba'ien, Auliya Allah aur Ulema imaam hain, isliye imaam Abu Bakar, imaam Umar, imaam Usman, imaam Ali, imaam Abu Haraira Raziyallahu Anhum kehna chahiye,
✦⇒ Rasulullah Sallahu Alaihivasallam ne farmaya " Mere sab Sahaba sitaaro'n ki manind hai'n, " Yani sab ke sab imaam hai'n, jiski chaho iqteda kar lo, har sitaare me roshni he, jisse chaho roshni haasil kar lo, is maa'ani me saare Sahaba ikram Raziyallahu Anhum imaam hai'n,
✦⇒ Sochne ki baat ye he k log imaam Abu Bakar nahi kehte, imaam Umar nahi kehte, imaam Hasan aur imaam Husain hi kehte hai'n,
Maloom hua k ye asar musalmano me kahin gair se aaya he, Shiyao'n ka asar musalmano me sarahat kar gaya, Agar ahle haqq Ulema me se kisi ne in Hazraat ko imaam kaha he to unhone iske sahi maa'ani ( Peshwa, Rehbar aur muqtada) me imaam kaha he, magar isse mugaalta zaroor hota he isliye isse ahatraaz zaroori he,
✦[ 2 ]⇒ Alaihissalam ka itlaaq
✦⇒ Ese hi Sayyadna Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ko Alaihissalam bhi wahi log kehte hai'n Jo unhe Ambiya Alaihissalam ka darja dete hai'n, isse bhi ahatraaz laazim he,
✦⇒ Jis tarah Raziyallahu Ta'aala anhu ke Dua'e kalamaat likhe aur kahe jaate hain, aise hi Dua'e kalamaat Hazraate Hasnain Raziyallahu anhum ke saath bhi likhe aur kahe jaye,
*[ Shahadat e husain RadiAllahu Taala Anhu, Safa no,38 ]*📚.,✒
Next - 12 © ontinue in sha Allah
•─━━━━━════━━━━━─•
🌐 ᴊᴏɪɴ ɢʀᴏᴜᴘ *ᴏɴʟɪʏ ʟᴀᴅɪᴇs*
☎ 7566980838 •─•• 📲
*🤲"ƊƲƛƛƠƝ MЄ ƳƛƛƊ ƦƛƘHЄƝ.✍*
___▁▁▂▂▃▃▄▄▃▃▂▂▁▁___
*ɪsʟᴀʜ sʙᴋɪ ᴋʀɴɪ ʜᴀɪ ɪɴ sʜᴀᴀ ᴀʟʟᴀʜ*
☆ *Elm Noo® Hai Guro🅿* ☆
🕋﷽🕋
❥═❥ ❥~ ilm e deen ~❥ ❥═❥
ραιgαм є υммατє мυнαммα∂ι ﷺ
🅿🅾ST ➪ 1⃣2⃣
❑──────────────╮
*SHAHADAT-E-HUSAIN*
*RADIALLAHU TAALA ANHU*
❑──────────────╯
●BISMILLAHIRRAHMANI RRAHIM●
*🌹 ✿ MUHARRAM UL HARAAM- FAZAIL O MASAIL ✿ 🌹*
*◆ (2) MUNKIRAAT E MUHARRAM ◆*
✦[ 3 ]⇒ Musalmano ke Naamo me Ahle Tashee'a ka Asar
✦⇒ Musalmano ke naamo me bhi Shiyao'n ka asar paya jata he, maslan asal naam ke saath jis tarah mahaz tabarruk ke liye Muhammad. aur Ahmed milaane ka dastoor he isi tarah Ali, Hasan, Husain milaya jata he, Siddiq, Farooq, Usman aur ya kisi aur Sahabi Ka naam bator tabarruk asal naam ke saath milane ka dastoor nahi,Nisbate gulami bhi Hazrat Ali, Hazrat Hasan, Hazrat Husain Raziyallahu Anhum ki taraf to ki jati he magar aur kisi Sahabi ki taraf nahi ki jati,
✦⇒ Aurto'n me bhi Kaneez Fatima ka naam to paaya jata he magar Kaneej Khadija, Kaneej Aaisha aur digar Azwaaj Mutahraat aur Kaneez Zainab, Kaneez Qulsum( Sahab zadiyo'n) Raziyallahu Anhuma kahi sunai nahi deti, Isse bhi badkar Altaf Husain, Fazal Husain aur Faizul Hasan jese Shirkiya naam bhi musalmano me bakasrat paye jate hai'n,
*[ Shahadat e husain RadiAllahu Taala Anhu, Safa no,40 ]*📚.,✒
Next - 13 © ontinue in sha Allah
•─━━━━━════━━━━━─•
🌐 ᴊᴏɪɴ ɢʀᴏᴜᴘ *ᴏɴʟɪʏ ʟᴀᴅɪᴇs*
☎ 7566980838 •─•• 📲
*🤲"ƊƲƛƛƠƝ MЄ ƳƛƛƊ ƦƛƘHЄƝ.✍*
___▁▁▂▂▃▃▄▄▃▃▂▂▁▁___
*ɪsʟᴀʜ sʙᴋɪ ᴋʀɴɪ ʜᴀɪ ɪɴ sʜᴀᴀ ᴀʟʟᴀʜ*
☆ *Elm Noo® Hai Guro🅿* ☆
🕋﷽🕋
❥═❥ ❥~ ilm e deen ~❥ ❥═❥
ραιgαм є υммατє мυнαммα∂ι ﷺ
🅿🅾ST ➪ 1⃣3⃣
❑──────────────╮
*SHAHADAT-E-HUSAIN*
*RADIALLAHU TAALA ANHU*
❑──────────────╯
●BISMILLAHIRRAHMANI RRAHIM●
*🌹 ✿ MUHARRAM UL HARAAM- FAZAIL O MASAIL ✿ 🌹*
*◆ (2) MUNKIRAAT E MUHARRAM ◆*
✦[ 4 ]⇒Taaziya ka JuLoos aur Maatam ki Majlis Dekhna
✦⇒ in Dino musalmano me kaseer tadaad maatam ki majlis aur Taaziya ke juloos ka nazara karne ke liye jama ho jati he, inme kayi gunaah hain,
✦⇒ Pehla gunaah ye he ke isme dushmanane Sahaba Raziyallahu Anhum aur dushmanane Quraan ke saath mushabhat he, Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he " Jisne kisi qaum se mushabhat ki, wo usi me shumar hoga, "
✦⇒ Holi ke din ek buzurg ja rahe the unhone mazaak ke tor par ek Gadhe par paan ki peek daaL kar farmaya ke tujh par koi rang nahi fek raha, Le tujhe me rang deta hu, marne ke baad is par giraft hui ke tum hoLi kheLte the aur azaab me giraftar huye,
✦⇒ Doosra gunaah ye he ke isse un dushmanane islaam ki Ronaq badti he, dushmano ki ronaq badana bahut bada gunaah he,
✦⇒ Teesra gunaah ye he ke jis tarah ibaadat ko dekhna ibaadat he, usi tarah gunaah ko dekhna bhi gunaah he,
✦⇒ Chotha gunaah ye he k is maqaam par Allah ta'ala ka gazab nazil ho raha hota he, aisi gazab wali jagah jana bahut bada gunaah he,
✦⇒ Ek baar Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Or Sahaba ikraam Raziyallahu Anhum ka guzar aisi bastiyo'n ke khandraat par hua jin par azaab aaya tha, Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne apne sar Mubarak par chaadar daaL Li Or sawari ko bahut tez chaalakar us maqaam se jaLdi se guzar gaye,Jab Sayyadul Avvaleen val Aakhireen, Rehmatul Aalameen Sallallahu Alaihivasallam ghazab azaab wali jagah se bachne ka ahatmam farmate the to awaam ka kya hashr hoga, sochna chahiye k agar Allah ta'ala ke dushmano ke kartooton se us waqt koi azaab aa gaya to kya sirf nazara karne ke liye jama hone wale musalman is azaab se bach jayenge,
Hargiz nahi, balki azaabe akhirat me bhi ye log unke saath honge,
✦⇒ Allah ta'aala mustahiqe azaab banane wali bad Amaaliyo'n se bachne ki tofeeq ata farmaye,
✦⇒ ye bhi khayal rahe k jis tarah Mubarak Dino me ibaadat ka zyada sawab he, isi tarah ma'asiyat par zyada azaab he, Allah ta'ala sabko deen ka sahi faham aur kaamil itteba'a ki niyamat ata farmaye,
*🤲🏻 Ameen ya Rabbul Alameen..🌹*
*[ Shahadat e husain RadiAllahu Taala Anhu, Safa no,41 ]*📚.,✒
Next - 14 © ontinue in sha Allah
•─━━━━━════━━━━━─•
🌐 ᴊᴏɪɴ ɢʀᴏᴜᴘ *ᴏɴʟɪʏ ʟᴀᴅɪᴇs*
☎ 7566980838 •─•• 📲
*🤲"ƊƲƛƛƠƝ MЄ ƳƛƛƊ ƦƛƘHЄƝ.✍*
___▁▁▂▂▃▃▄▄▃▃▂▂▁▁___
*ɪsʟᴀʜ sʙᴋɪ ᴋʀɴɪ ʜᴀɪ ɪɴ sʜᴀᴀ ᴀʟʟᴀʜ*
☆ *Elm Noo® Hai Guro🅿* ☆
🕋﷽🕋
❥═❥ ❥~ ilm e deen ~❥ ❥═❥
ραιgαм є υммατє мυнαммα∂ι ﷺ
🅿🅾ST ➪ 1⃣4⃣
❑──────────────╮
*SHAHADAT-E-HUSAIN*
*RADIALLAHU TAALA ANHU*
❑──────────────╯
●BISMILLAHIRRAHMANI RRAHIM●
*🌹 ✿ MUHARRAM UL HARAAM- FAZAIL O MASAIL ✿ 🌹*
*◆ (3) Fazaile Ahle Bait Nabvi Sallallahu Alaihivasallam ◆*
✦[ 1 ]⇒ Ahle Bait Ki Avvaleen Misdaaq Azwaaj Mutaharaat Hain
✦⇒ Ye ek haqeeqat he jisme kisi shak o Shuba ki gunza'ish nahi k Ahle Bait ka Lafz Qurane Kareem me azwaaj mutaharaat ke liye hi istemal hua he, Surah Al-Ahzab, Verse 33:me Azwaaj Mutaharaat ko kuch khaas hidayat dene ke baad farmaya gaya,
إِنَّمَا يُرِيدُ اللَّهُ لِيُذْهِبَ عَنكُمُ الرِّجْسَ أَهْلَ الْبَيْتِ وَيُطَهِّرَكُمْ تَطْهِيرًا
✦⇒ Jiska matlab ye he ke, humare paigambar ki biviyo'n tum ko Jo ye khaas hidayate di gayi hain inse Allah ta'ala ka maqsad tumko zahmat o mashaqqat me mubtila karna nahi he balke Allah ta'ala ka iraada in hidayaat se ye he k tumko har qism ki Zaahiri baatini burayi or gandgi se paak saaf kar diya jaye,
✦⇒ Jo shakhs Arbi zuban ki kuchh bhi waaqfiyat rakhta he, usko Surah Al-Ahzab ka ye pura ruku padne ke baad is me koi shak Shuba nahi hoga k yahan Ahle Bait ka lafz Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki Azwaaj mutaharaat ke liye istemal hua he,
✦⇒ Lekin ye kesi ajeeb baat he k Quraan par imaan rakhne wale hum musalmano ka haal aaj ye he k Ahle Bait ka Lafz sunkar humari zahan azwaaj mutaharaat ki taraf bilkul nahi jati balke Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Shahabzadi Hazrat Fatima Zohra Raziyallahu Anha Or unke Shohar Hazrat Ali Murtuza Raziyallahu Anhu aur dono ki zurriyat ( Hazraat Hasnain Raziyallahu Anhum) hi ki taraf jata hai,
*[ Shahadat e husain RadiAllahu Taala Anhu, Safa no,104 ]*📚.,✒
Next - 15 © ontinue in sha Allah
•─━━━━━════━━━━━─•
🌐 ᴊᴏɪɴ ɢʀᴏᴜᴘ *ᴏɴʟɪʏ ʟᴀᴅɪᴇs*
☎ 7566980838 •─•• 📲
*🤲"ƊƲƛƛƠƝ MЄ ƳƛƛƊ ƦƛƘHЄƝ.✍*
___▁▁▂▂▃▃▄▄▃▃▂▂▁▁___
*ɪsʟᴀʜ sʙᴋɪ ᴋʀɴɪ ʜᴀɪ ɪɴ sʜᴀᴀ ᴀʟʟᴀʜ*
☆ *Elm Noo® Hai Guro🅿* ☆
🕋﷽🕋
❥═❥ ❥~ ilm e deen ~❥ ❥═❥
ραιgαм є υммατє мυнαммα∂ι ﷺ
🅿🅾ST ➪ 1⃣5⃣
❑──────────────╮
*SHAHADAT-E-HUSAIN*
*RADIALLAHU TAALA ANHU*
❑──────────────╯
●BISMILLAHIRRAHMANI RRAHIM●
*🌹 ✿ MUHARRAM UL HARAAM- FAZAIL O MASAIL ✿ 🌹*
*◆ (3) Fazaile Ahle Bait Nabvi Sallallahu Alaihivasallam ◆*
✦[ 2 ]⇒ Ahle Bait aur Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki Dua
✦⇒ isme koi shak Shuba ki gunzaish nahi k Ahle Bait ka lafz Quran paak me Azwaaj Mutaharaat( Aap Sallallahu Alaihivasallam ki paak Biviyo) ke liye istemal hua he aur wohi iske avvaleen misdaaq hai'n,
✦⇒ Albatta Hadees Paak se ye baat saabit he k jab Surah AL-AHZAB ki ye aayat ( aayat no.33)naajil hui to Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne apni Sahabzadi Hazrat Fatima Raziyallahi Anha, unke do no Sahabzado'n (Hazrat Hasan aur Hazrat Husain Raziyallahu Anhum) aur unke saath unke Shohar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko ek chaadar me apne saath lekar Dua farmai, Ay Allah ! Ye bhi mere Ahle Bait hai'n, inse bhi har tarah ki burayi aur gandgi ko door farma de aur inko mukammal tor per paak saaf farma de,
✦⇒ Bila shubha Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki ye dua qubool hui aur ye Hazraat bhi Ahle Bait me shamil ho gaye,
✦⇒ Algaraz baat ye he ke Azwaaj Mutaharaat( Aap Sallallahu Alaihivasallam ki paak Biviya'n) Ahle Bait me se nahi he balki is lafz ki misdaaq sirf Aap Sallallahu Alaihivasallam ki ek beti, ek damaad aur do nawase hain, na to zuban ke lihaaz se durust he aur na Quraan Hadees se sabit he, balki ek khaas firqe ke fankaro ki saazish ke natije me is galti ne ummat me urfe aam ki haisiyat akhtyar kar li, aur hamari saada diLi, bholepan ki vajah se is tarah ki bahut si doosri galat baato ki tarah isko bhi qabooLe aam hasil ho gaya, jesa k arz kiya ja chuka he k haalat ye ho gayi k " Ahle Bait" ka lafz sunkar humare acche padhe likhe ka bhi zahan azwaaj mutaharaat ki taraf nahi jaata Jo Quran Majeed ki ru se is lafz ki avvaleen misdaaq hai'n,
➖ Wallahu Muvaffiqu va Huval Musta'aani ➖
*[ Shahadat e husain RadiAllahu Taala Anhu, Safa no,105 ]*📚.,✒
Next - 16 © ontinue in sha Allah
•─━━━━━════━━━━━─•
🌐 ᴊᴏɪɴ ɢʀᴏᴜᴘ *ᴏɴʟɪʏ ʟᴀᴅɪᴇs*
☎ 7566980838 •─•• 📲
*🤲"ƊƲƛƛƠƝ MЄ ƳƛƛƊ ƦƛƘHЄƝ.✍*
___▁▁▂▂▃▃▄▄▃▃▂▂▁▁___
*ɪsʟᴀʜ sʙᴋɪ ᴋʀɴɪ ʜᴀɪ ɪɴ sʜᴀᴀ ᴀʟʟᴀʜ*
☆ *Elm Noo® Hai Guro🅿* ☆
🕋﷽🕋
❥═❥ ❥~ ilm e deen ~❥ ❥═❥
ραιgαм є υммατє мυнαммα∂ι ﷺ
🅿🅾ST ➪ 1⃣6⃣
❑──────────────╮
*SHAHADAT-E-HUSAIN*
*RADIALLAHU TAALA ANHU*
❑──────────────╯
●BISMILLAHIRRAHMANI RRAHIM●
*🌹 ✿ MUHARRAM UL HARAAM- FAZAIL O MASAIL ✿ 🌹*
*◆(3) Fazaile Ahle Bait Nabvi Sallallahu Alaihivasallam ◆*
✦[ 3 ]⇒ Azwaaj Mutaharaat Raziyallahu Anhuma
✦⇒ Jesa k Hadees Sharif ki mustanad Rivayat se maloom hota he k RasooLuLLah Sallallahu Alaihivasallam ki Azwaaj Mutaharaat Jo mankuha bivi ki haisiyat se aapke saath thodi ya zyada muddat rahi wo kul 11 hain, inke isme girami ye hai'n,
✦[ 1 ]⇒ Hazrat Khadija Raziyallahu Anhuma bint Khuveld,
✦[ 2 ]⇒Hazrat Sauda Raziyallahu Anhuma bint Zama'a,
✦[ 3 ]⇒ Hazrat Aaisha Raziyallahu Anhuma bint Abu Bakar Rd,
✦[ 4 ]⇒ Hazrat Hafsa Raziyallahu Anhuma bint Umar bin Khattab Raziyallahu Anhuma
✦[ 5 ]⇒ Hazrat Zenab Raziyallahu Anhuma bint Khuzema,
✦[ 6 ]⇒ Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anhuma bint Abi Ummya,
✦[ 7 ]⇒ Hazrat Zenab Raziyallahu Anhuma bint Jahash,
✦[ 8 ]⇒ Hazrat Juveriya Raziyallahu Anhuma bint Haris bin Abi Zaraar,
✦[ 9 ]⇒ Haztat Umme Habiba Raziyallahu Anhuma bint Abu Sufiyan Rd,
✦[ 10 ]⇒ Hazrat Safiya Raziyallahu Anhuma bint Hayi bin Akhtab,
✦[ 11 ]⇒ Hazrat Memuna Raziyallahu Anhuma bint Haris,
✦⇒ inme se Hazrat Khadija aur Hazrat Zenab bint Khuzema Raziyallahu Anhuma ki wafaat Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki hayaat me hui,
✦⇒ Baaz Rivayaat se maloom hota he k in 11 ke alawa Banu Qureza me se Hazrat Rihana Sham'un ke muta'alliq maloom hota he k jab Yahood Banu Qurez ki gaddari ki vajah se Huzur Sallallahu Alaihivasallam ne unke khilaf karrwahi ki aur unki baqaya ko giraftaar kiya gaya to unme Hazrat Rihana bhi thi, baaz kehte hain ke inhone islaam qubool kar liya to inko azaad karke Huzur Sallallahu Alaihivasallam apne nikah me le liya, lekin baaz Rivayaat me inko Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki mankul bivi ka sharf hasil nahi hua, balki ek baandi ki haisiyat se aapke saath rahi, aur Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki hayaat me hi hajjatul Vida ke baad wafaat payi,
➖ Wallahu Aalam ➖
*[ Shahadat e husain RadiAllahu Taala Anhu, Safa no,107 ]*📚.,✒
Next - 17 © ontinue in sha Allah
•─━━━━━════━━━━━─•
🌐 ᴊᴏɪɴ ɢʀᴏᴜᴘ *ᴏɴʟɪʏ ʟᴀᴅɪᴇs*
☎ 7566980838 •─•• 📲
*🤲"ƊƲƛƛƠƝ MЄ ƳƛƛƊ ƦƛƘHЄƝ.✍*
___▁▁▂▂▃▃▄▄▃▃▂▂▁▁___
*ɪsʟᴀʜ sʙᴋɪ ᴋʀɴɪ ʜᴀɪ ɪɴ sʜᴀᴀ ᴀʟʟᴀʜ*
☆ *Elm Noo® Hai Guro🅿* ☆
🕋﷽🕋
❥═❥ ❥~ ilm e deen ~❥ ❥═❥
ραιgαм є υммατє мυнαммα∂ι ﷺ
🅿🅾ST ➪ 1⃣7⃣
❑──────────────╮
*⚔ SHAHADAT-E-HUSAIN ⚔*
*⚘ RADIALLAHU TAALA ANHU ⚘*
❑──────────────╯
●BISMILLAHIRRAHMANI RRAHIM●
🌹✿MUHARRAM UL HARAAM✿ 🌹
*🔰✿ FAZAIL O MASAIL ✿ 🔰*
*🏻 3⃣➧ Fazaile AHle Bait NaBvi Sallallahu Alaihi Wasallam*
*🏻 4⃣➧* Sarware Do Aalam Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ki Aulad Mubarak -1
⚘✦⇒ Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki Aulaad ke bare me aqwaal mukhtalif hain, sabse zyada motbar aur mustnad qaul ye he ke 3 Sahabzade Hazrat Qasim, Hazrat Abdullah( inko Tayyab aur Tahir ke naam se bhi pukara jata tha) aur Hazrat Ibrahim aur 4 Sahabzadiya Hazrat Zenab,Hazrat Ruqaiya, Hazrat Umme Qulsum,aur Hazrat Fatima Raziyallahu Anhuma thi,
⚘✦⇒ Hazrat Qasim Aapki Aulaad me sabse pehle Hazrat Qasim paida hue aur sirf 2 saal hayaat rahe, be'ashat nabvi se pehle hi inteqal kar gaye, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki kunniyat Abu Qasim inhi se intsaab thi,
⚘✦⇒ Hazrat Zenab Raziyallahu anha Aap Sallallahu Alaihivasallam ki sahabzadiyo me sabse badi hai'n, be'asat se 10 saal pehle paida hui aur islaam Layi, Badar ke baad hijrat ki, khalazad bhai Hazrat Abul Aas bin Rabi'a se nikah hua, aur 8 hijri me inteqal hua, Ek sahabzade Hazrat Ali aur ek sahabzadi Hazrat Umama Raziyallahu Anha apni yaadgar chhodi,Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ke inteqal ke baad Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Hazrat Umama Raziyallahu Anha se nikaah kiya aur jab Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki shahadat hui to Aapne Mugira bin Nofil ko vasiyat ki k tum Umama se nikaah kar Lena...✍
*📬 [ Shahadat e husain RadiAllahu Taala Anhu, Safa no,110 ] 📚*
*📮 NEXT* ©ontinue In sha ALLAH
http://islahekhwateen.blogspot.com/2018/09/shahadat-e-husain-radiallahu-taala-anhu.html?m=1
🌐 ᴊᴏɪɴ ɢʀᴏᴜᴘ *ᴏɴʟɪʏ ʟᴀᴅɪᴇs*
☎ 7566980838 •─•• 📲
*🤲"ƊƲƛƛƠƝ MЄ ƳƛƛƊ ƦƛƘHЄƝ.✍*
___▁▁▂▂▃▃▄▄▃▃▂▂▁▁___
*Aᴀᴏ Aᴘɴɪ IsʟᴀH ᴋʀᴇ*
☆ *Elm Noo® Hai Guro🅿* ☆
🕋﷽🕋
❥═❥ ❥~ ilm e deen ~❥ ❥═❥
ραιgαм є υммατє мυнαммα∂ι ﷺ
🅿🅾ST ➪ 1⃣8⃣
❑──────────────╮
*⚔ SHAHADAT-E-HUSAIN ⚔*
*⚘ RADIALLAHU TAALA ANHU ⚘*
❑──────────────╯
●BISMILLAHIRRAHMANI RRAHIM●
🌹✿MUHARRAM UL HARAAM✿ 🌹
*🔰✿ FAZAIL O MASAIL ✿ 🔰*
*🏻 3⃣➧ Fazaile Ahle Bait Nabvi Sallallahu Alaihivasallam*
🏻 5⃣➧ Abu Lahab aur uske Beto ki Badbakhti
⚘✦⇒ Hazrat Ruqaiya Raziyallahu Anha aur Hazrat Umme Kulsum Raziyallahu Anha dono Sahabzadiya'n Abu Lahab ke beto se mansoob thi, Hazrat Ruqaiya Raziyallahu Anha Utba se aur Hazrat Umme Kulsum Raziyallahu Anha Uraiba se faqat nikaah hua tha, Rukhsati nahi hui thi, Jab " Tabbat yada Abi lahab" naziL hui to do no beto ne baap ke hukm se dono Sahabzadiyo'n ko talaaq de di,
🏻 6⃣➧ Hazrat Ruqaiya Raziyallahu Anha
⚘✦⇒ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Ruqaiya Raziyallahu Anha ka nikaah Hazrat Usman Raziyallahu Anhu se kiya, Hazrat Usman Raziyallahu Anha ne jab Habsha ki hijrat ki to Hazrat Ruqaiya Raziyallahu Anha bhi aapke saath thi, waha'n inke ek bachcha paida hua jinka naam Abdullah rakha gaya, Jo 6 saal zinda reh kar inteqal kar gaya,
⚘✦⇒ Jis waqt Aap Sallallahu Alaihivasallam gazwa e badar ke liye rawana huye to Hazrat Ruqaiya Raziyallahu Anha bimaar thi is vajah se Hazrat Usman Raziyallahu Anha Gazwa e badar me shareek na ho sake, unki zimaardari me rahe,
⚘✦⇒ Jis Din Hazrat Zaid Raziyallahu Anha bin Haris islaam ki Fatah ( Badar Fatah ) ki khabar Lekar Madina Munavvara aaye, Hazrat RuqaiyaRaziyallahu Anha ne inteqal farmaya, us waqt unki umar 20 saal thi,...✍
*📬 [ Shahadat e husain RadiAllahu Taala Anhu, Safa no,112 ] 📚*
*📮 NEXT* ©ontinue In sha ALLAH
http://islahekhwateen.blogspot.com/2018/09/shahadat-e-husain-radiallahu-taala-anhu.html?m=1
🌐 ᴊᴏɪɴ ɢʀᴏᴜᴘ *ᴏɴʟɪʏ ʟᴀᴅɪᴇs*
☎ 7566980838 •─•• 📲
*🤲"ƊƲƛƛƠƝ MЄ ƳƛƛƊ ƦƛƘHЄƝ.✍*
___▁▁▂▂▃▃▄▄▃▃▂▂▁▁___
*Aᴀᴏ Aᴘɴɪ IsʟᴀH ᴋʀᴇ*
☆ *Elm Noo® Hai Guro🅿* ☆
🕋﷽🕋
❥═❥ ❥~ ilm e deen ~❥ ❥═❥
ραιgαм є υммατє мυнαммα∂ι ﷺ
🅿🅾ST ➪ 1⃣9⃣
❑──────────────╮
*⚔ SHAHADAT-E-HUSAIN ⚔*
*⚘ RADIALLAHU TAALA ANHU ⚘*
❑──────────────╯
●BISMILLAHIRRAHMANI RRAHIM●
🌹✿MUHARRAM UL HARAAM✿ 🌹
*🔰✿ FAZAIL O MASAIL ✿ 🔰*
🏻 3⃣➧ Fazaile Ahle Bait Nabvi Sallallahu Alaihivasallam
🏻 7⃣➧ Hazrat Umme Kulsum Raziyallahu Anha
⚘✦⇒ Hazrat Ruqaiya Raziyallahu Anha ki wafaat ke baad maahe Rabiul Avval 2 hijri me Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke nikaah me aayi, 6 saal Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke saath rahi aur koi aulaad nahi hui, maahe Shaban 9 hijri me inteqal kiya,
🏻 8⃣➧ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki Azmat
⚘✦⇒ Hazrat Umme Kulsum Raziyallahu Anhu ka inteqal ho gaya to Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne ye irshad farmaya k agar meri 10 betiya'n bhi hoti to ek ke baad ek digar Usman ki zojiyat me deta rehta,
🏻 9⃣➧ Hazrat Ibrahim Raziyallahu Anhu
⚘✦⇒ Hazrat ibrahim Raziyallahu Anhu Aap Sallallahu Alaihivasallam ki akhri awlaad he Jo Hazrat Maariya Qibtiya ke badan se zilhijja 8 hijri me paida huye, taqariban 15-16 Maah aap zinda rahe, 10 hijri me inteqal hua,..✍
*📬 [ Shahadat e husain RadiAllahu Taala Anhu, Safa no,113 ] 📚*
*📮 NEXT* ©ontinue In sha ALLAH
http://islahekhwateen.blogspot.com/2018/09/shahadat-e-husain-radiallahu-taala-anhu.html?m=1
🌐 ᴊᴏɪɴ ɢʀᴏᴜᴘ *ᴏɴʟɪʏ ʟᴀᴅɪᴇs*
☎ 7566980838 •─•• 📲
*🤲"ƊƲƛƛƠƝ MЄ ƳƛƛƊ ƦƛƘHЄƝ.✍*
___▁▁▂▂▃▃▄▄▃▃▂▂▁▁___
*Aᴀᴏ Aᴘɴɪ IsʟᴀH ᴋʀᴇ*
☆ *Elm Noo® Hai Guro🅿* ☆
🕋﷽🕋
❥═❥ ❥~ ilm e deen ~❥ ❥═❥
ραιgαм є υммατє мυнαммα∂ι ﷺ
🅿🅾ST ➪ 2⃣0⃣
❑──────────────╮
*⚔ SHAHADAT-E-HUSAIN ⚔*
*⚘ RADIALLAHU TAALA ANHU ⚘*
❑──────────────╯
●BISMILLAHIRRAHMANI RRAHIM●
🌹✿MUHARRAM UL HARAAM✿ 🌹
*🔰✿ FAZAIL O MASAIL ✿ 🔰*
*🏻 [ 3 ]➧* Fazaile Ahle Bait Nabvi Sallallahu Alaihivasallam
🏻 1⃣0⃣➧ Hazrat Fatima Raziyallahu Anha
⚘✦⇒ Hazrat Fatima Raziyallahu Anha Aap Sallallahu Alaihivasallam ki sabse chhoti beti thi, Johra aur Batool ye do aapke Laqab the, Baisat ke pehle saaL me paida hui aur ibne jozi Rh kehte he k baisat se 5 saal pehle paida hui jab Quresh khana kaaba ki tameer kar rahe the,
⚘✦⇒ 2 hijri me Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se nikaah hua, ek qaul ke mutabik Hazrat Fatima Rd us waqt 15 saal sade 5 maah Hazrat Ali Rd 21 saal 5 maah, aur doosre qaul ke mutabik Hazrat Fatima Rd 19 saal ded maah aur Hazrat Ali Rd 24 saal ded maah thi, Aap Sallallahu Alaihivasallam ki wafaat ke baad Ramzan 11 hijri me inteqal farmaya,
⚘✦⇒ Hazrat Fatima Raziyallahu Anha Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki sabse zyada mehboob thi, baar baar Aapne farmaya k, "A Fatima ! Kya tu is per raazi nahi k tu jannat ki tamaam aurto'n ki sardaar he, " Jab aap safar me jate to sabse akhir me Hazrat Fatima Raziyallahu Anha se milte aur jab safar se wapas aate to sabse pehle milte,
⚘✦⇒ Hazrat Sayyida Fatima Tuz’zahra Radi Allaha Anha Ki Aulade Paak :
Hazrat Sayyeda Fatima Radi Allaho Anha se Nikah Pe Aapki Kul 06 Aulade Kiram Huwi 03 Ladke Aur 03 Ladkiya
(01) Imam Sayyidina Imam Hasan ﺭَﺿِﯽَ ﺍﻟﻠﻪُ ﻋَﻦْ Wiladat 15 Ramzan Sharif, 03 Hizri.
(02) Imam Sayyidina Imam Hussain ﺭَﺿِﯽَ ﺍﻟﻠﻪُ ﻋَﻦْ Wiladat 05 Shaban ul Muazam, 04 Hizri
(03) Imam Sayyidana Mohseen ﺭَﺿِﯽَ ﺍﻟﻠﻪُ ﻋَﻦْ inka Wisaal Bachpan Me Hi
Ho Gaya Tha Isliye Tazkira Naa Ke Barabar Milta Hai.
(04) Hazrat Sayyidutna Zainab Sabira Tayyaba Tahira Radi Allaho Anha
Karbala me Imam E Hussain Radi Allaho Anho Ke Saathi Rahi.
Inka Nikah Hazrat Zafar Radi Allaho Anho Ke Bete Hazrat Abdullah ﺭَﺿِﯽَ ﺍﻟﻠﻪُ ﻋَﻦْ Se Huwa.
(05) Hazrat Sayyudutna Umme Kulsoom Radi Allaho Anha
Inka Nikaah 40000 Dirham Mehar Me Khalifatul Muslemin Hazrat Umar Radi Allaho Anho Se Huwa.
(06) Hazrat Sayyadutna Rukkaya Radi Allaho Anha Inka Wisaal Bachpan Me Hi Ho Gaya Tha.
(Imam Athir ne Usdul Ghabah Fi Marifat -us- Sahabah)
Ye Muttafak Ahle Bait Hai Kisi Ka Ispe Ektelaf Nahi Hai. Inme Se Hi Jo Imam Hasan Aur Imam Hussain Radi Allaho Anho Azmain Se Jo Aulade Paak Huwi Waha Se Aale Nabi ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭ ﺁﻟﻪ ﻭﺳﻠﻢ Huwe Aur Jo Hazrat Ali Radi Allaho Anho Ke Dusri Biwiyo Se Aulad Huwi Jinme Hazrat Abbas Alambardar Huwe Aur Dusre Bete Huwe Wo ALWI Sayyed Kahlaye.
Tamam Badhshaho Ki Nasl Unke Bete Se Chali. KAYNAAT Ke Imam Ki Nasl Unki Beti Se Chali..✍
*SUBHAN ALLAH*
*📬 [ Shahadat e husain RadiAllahu Taala Anhu, Safa no,114 ] 📚*
*📮 NEXT* ©ontinue In sha ALLAH
http://islahekhwateen.blogspot.com/2018/09/shahadat-e-husain-radiallahu-taala-anhu.html?m=1
🌐 ᴊᴏɪɴ ɢʀᴏᴜᴘ *ᴏɴʟɪʏ ʟᴀᴅɪᴇs*
☎ 7566980838 •─•• 📲
*🤲"ƊƲƛƛƠƝ MЄ ƳƛƛƊ ƦƛƘHЄƝ.✍*
___▁▁▂▂▃▃▄▄▃▃▂▂▁▁___
*Aᴀᴏ Aᴘɴɪ IsʟᴀH ᴋʀᴇ*
☆ *Elm Noo® Hai Guro🅿* ☆
🕋﷽🕋
❥═❥ ❥~ ilm e deen ~❥ ❥═❥
ραιgαм є υммατє мυнαммα∂ι ﷺ
🅿🅾ST ➪ 2⃣1⃣
❑──────────────╮
*⚔ SHAHADAT-E-HUSAIN ⚔*
*⚘ RADIALLAHU TAALA ANHU ⚘*
❑──────────────╯
●BISMILLAHIRRAHMANI RRAHIM●
🌹✿MUHARRAM UL HARAAM✿ 🌹
*🔰✿ FAZAIL O MASAIL ✿ 🔰*
*🏻 [ 3 ]➧* Fazaile Ahle Bait Nabvi Sallallahu Alaihivasallam
🏻 1⃣1⃣➧Hazrat Husain bin Ali Raziyallahu Anhu
⚘✦⇒ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke doosre nawase aur Hazrat Ali Raziyallahu Anhu o Hazrat Fatima Raziyallahu Anhu ke chhote sahabzade Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ki wiladat Shaban 4 hijri me hui, Aap Sallallahu Alaihivasallam ne hi inka naam Husain rakha, inko shehad chataya, inke moonh me apni zaban mubarak dakhil karke luaab mubarak ataa farmaya aur inka aqeeqa karne aur Baalo ke hum-vazan chandi sadqa karne ka hukm diya,
⚘✦⇒ Apne bade bhai Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ki tarah Hazrat Husain Raziyallahu Anhu Huzur Sallallahu Alaihivasallam ke mushabe the, Jab Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki wafaat hui to inki umar sirf 6 ya 7 saal thi, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ke akhri zamana e khilafat me aapne jihaad me shirkat shuru ki, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke zamane me jab baagiyo ne unke ghar ka muhasba kiya to Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne apne dono beto Hazrat Hasan aur Hazrat Husain ko unke ghar ki hifazat ke liye muqarrar kar diya tha,
⚘✦⇒Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki shahadat ke baad jab Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ne Hazrat Muaviya Raziyallahu Anhu se sulah karke khilafat se dast bardari ke iraade ka izhaar kiya to Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ne bhai ki raay se ikhtilaf kiya lekin bade bhai ke ahatram me unke faisle ko tasleem kar liya,
⚘✦⇒ Albatta jab Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ki wafaat ke baad jab Hazrat Muaviya Raziyallahu Anhu ne apne bete Yazeed ki khilafat ki bait li to Hazrat Husain Raziyallahu Anhu isko kisi tarah bardaast na kar sake aur Yazeed ke khalifa ban jane ke baad Jihaad ke iraade se Madina Taiyaba se Kufa tashreef Le gaye aur Karbala ka waqiya pesh aaya, Aap waha'n 10 Muharram, 61 hijri ko shaheed kar diye gaye,..✍
➖Raziyallahu Anhu va Arzah➖
*📬 [ Shahadat e husain RadiAllahu Taala Anhu, Safa no,162 ] 📚*
*📮 NEXT* ©ontinue In sha ALLAH
http://islahekhwateen.blogspot.com/2018/09/shahadat-e-husain-radiallahu-taala-anhu.html?m=1
🌐 ᴊᴏɪɴ ɢʀᴏᴜᴘ *ᴏɴʟɪʏ ʟᴀᴅɪᴇs*
☎ 7566980838 •─•• 📲
*🤲"ƊƲƛƛƠƝ MЄ ƳƛƛƊ ƦƛƘHЄƝ.✍*
___▁▁▂▂▃▃▄▄▃▃▂▂▁▁___
*Aᴀᴏ Aᴘɴɪ IsʟᴀH ᴋʀᴇ*
☆ *Elm Noo® Hai Guro🅿* ☆
🕋﷽🕋
❥═❥ ❥~ ilm e deen ~❥ ❥═❥
ραιgαм є υммατє мυнαммα∂ι ﷺ
🅿🅾ST ➪ 2⃣2⃣
❑──────────────╮
*⚔ SHAHADAT-E-HUSAIN ⚔*
*⚘ RADIALLAHU TAALA ANHU ⚘*
❑──────────────╯
●BISMILLAHIRRAHMANI RRAHIM●
🌹✿MUHARRAM UL HARAAM✿ 🌹
*🔰✿ FAZAIL O MASAIL ✿ 🔰*
*🏻 [ 3 ]➧* Fazaile Ahle Bait Nabvi Sallallahu Alaihivasallam
*🏻 1⃣2⃣➧* Hazraate Hasnain Raziyallahu Anhu ke Fazail
⚘✦⇒ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke nawase aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Sahabi hone ka sharf hi kya kam he fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ko Hazraate Hasnain Raziyallahu Anhu se bahut mohabbat thi, Shafqat o muhabbat ka ye aalam tha k ye dono bhai bachpan me namaz ki haalat me Aap Sallallahu Alaihivasallam ki kamar mubarak per Chad jate, kabhi kabhi dono taango ke beech me se guzarte rehte aur Aap Sallallahu Alaihivasallam namaz me bhi unka khayal rakhte, jab tak wo kamar per chade rehte Aap SWA sajde se sar na uthate,
⚘✦⇒ Aap Sallallahu Alaihivasallam aksar inhe god me lete, kabhi kandho per sawaar karte, unka bosa lete, unko sunghte aur farmate, " Tum Allah ki ataa ki hui khushbu ho "
*📗 [ Jama'a Tirmizi ] 📗*
⚘✦⇒ Sahi Bukhari me Hazrat Adi bin Saabit Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasoolullah Sallallahu Alaihivasallam Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu Ko apne kaandhe per sawaar kiye hue the aur ye dua farma rahe the,
" Ay. Allah, ye mujhe mehboob he aap bhi ise apna mehboob bana Lijye, "
*📕 [ Sahi Bukhari,, 1/530 ] 📕*
⚘✦⇒ Imaam Tirmizi Rehmatullahi Aleh ne Hazrat Usama bin zaid Raziyallahu Anhu ki hadees zikr ki he k me kisi zaroorat se Aap Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me haazir hua, Aap ghar ke bahar is haal me tashreef Laye k Aap Sallallahu Alaihivasallam dono god me kuchh rakhe hue the, aur chaadar odhe hue the, me jab apne kaam se farig ho gaya to arz kiya, ye kya he?
to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne chaadar hata di, mene dekha ek janib Hazrat Hasan aur doosri janib Hazrat Husain hain, aur farmaya, Ay Allah me in dono se muhabbat karta hu, aap bhi inse muhabbat farmaye'n aur Jo inse muhabbat kare usko bhi tu apna mehboob banaaLe,
⚘✦⇒ Ek baar Aap Sallallahu Alaihivasallam khutba de rahe the, dono nawase aa gaye, Aapne khutba rok kar dono ko utha liya aur apne paas bethaya fir baqi khutba pura kiya,
⚘✦⇒ Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu aur Hazrat Husain Raziyallahu Anhu dono bhai bahut ibadat guzaar the, dono ne baar baar Madina Taiyaba se Makka Mukarrama tak paidal safar karke hajj kiye hai'n,Allah ke raaste me kasrat se maal kharch karte the, Judo sakhawat maa'n baap aur nana jaan se virasat me mili thi,..✍
*📘 [ Maarful Hadees ] 📘*
Raziyallahu Anhuma v Arzahuma
*📬 [ Shahadat e husain RadiAllahu Taala Anhu, Safa no,163 ] 📚*
*📮 NEXT* ©ontinue In sha ALLAH
http://islahekhwateen.blogspot.com/2018/09/shahadat-e-husain-radiallahu-taala-anhu.html?m=1
🌐 ᴊᴏɪɴ ɢʀᴏᴜᴘ *ᴏɴʟɪʏ ʟᴀᴅɪᴇs*
☎ 7566980838 •─•• 📲
*🤲"ƊƲƛƛƠƝ MЄ ƳƛƛƊ ƦƛƘHЄƝ.✍*
___▁▁▂▂▃▃▄▄▃▃▂▂▁▁___
*Aᴀᴏ Aᴘɴɪ IsʟᴀH ᴋʀᴇ*
☆ *Elm Noo® Hai Guro🅿* ☆
🕋﷽🕋
❥═❥ ❥~ ilm e deen ~❥ ❥═❥
ραιgαм є υммατє мυнαммα∂ι ﷺ
🅿🅾ST ➪ 2⃣3⃣
❑──────────────╮
*⚔ SHAHADAT-E-HUSAIN ⚔*
*⚘ RADIALLAHU TAALA ANHU ⚘*
❑──────────────╯
●BISMILLAHIRRAHMANI RRAHIM●
🌹✿MUHARRAM UL HARAAM✿ 🌹
*🔰✿ FAZAIL O MASAIL ✿ 🔰*
*🏻 [ 3 ]➧* Fazaile Ahle Bait Nabvi Sallallahu Alaihivasallam
*🏻 1⃣2⃣➧* Hazraate Hasnain RadiAllahu Taala Anhu ke fazail-2
⚘✦⇒ Aap Sallallahu Alaihivasallam ko apne tamaam ahle Bait me Hazraate Hasnain RadiAllahu Taala Anhu sabse zyada mehboob the Hazrat Anas RadiAllahu Taala Anhu Rivayaat karte hain Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam farmate the k ahle Bait me mujhko Hasan aur Husain sabse zyada mehboob hai'n,
*📕 Tirmizi Sharif 📕*
⚘✦⇒ Aap khuda se apne in mehboobo se muhabbat karne ko dua farmate the, Hazrat Abu Haraira RadiAllahu Taala Anhu Rivayaat karte hain k ek martaba me Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke saath bazaar se lota to Aap Hazrat Fatima RadiAllahu Taala Anhu ke ghar tashreef le gaye aur puchha bachche kaha'n hain? Thodi der me dono doondhte huye aaye aur Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se chimat gaye, Aapne farmaya, khudara me inko mehboob rakhta hu isliye tu bhi inhe mehboob rakh aur inke mehboob rakhne wale ko bhi mehboob rakh,
*📗 Muslim Sharif 📗*
⚘✦⇒ Ek martaba Aap Sallallahu Alaihivasallam Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ko kandhe per lekar nikle, ek shakhs ne dekhkar kaha, " kiya Sahabzade kya achchhi sawari he, "
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya," Sawaar bhi to kitna achchha he, "
*📙 Tirmizi Sharif 📙*
⚘✦⇒ Nabuwat ki haisiyat ko chhodkar jahan tak Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki bashri haisiyat ka ta'alluq he Hazrat Hasan RadiAllahu Taala Anhu aur Hazrat Husain RadiAllahu Taala Anhu ki zaat goya zaate muhammadi ka juz thi,
Hazrat 'Ali RadiAllahu Taala Anhu bin Murrah Rivayat karte hai'n k Rasoolullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Husain mujhse he aur me Husain se hu'n, Jo shakhs Husain ko dost rakhta he, khuda usko dost rakhta he, Husain Raziyallahu Anhu isbaat ke ek sabt hain,
⚘✦⇒ Hazraate Hasnain RadiAllahu Taala Anhu ko Aap Sallallahu Alaihivasallam apne jannat ke gul khandan farmate the,Ibne Umar Raziyallahu Anhu Rivayaat karte hai'n k Rasoolullah Sallallahu Alaihivasallam farmate the, k Hasan aur Husain mere jannat ke do phool hai'n,
*📘 Bukhari Sharif 📘*
⚘✦⇒ Hazraate Hasnain RadiAllahu Taala Anhu nojawanane jannat ke sardaar hai'n,Hazrat Huzaifa Raziyallahu Anhu farmate hai'n, Ek martaba mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke saath maghrib aur isha ki namaz padi, isha ki namaz ke baad Aap Sallallahu Alaihivasallam tashreef le chale, me bhi pichhe ho liya, meri awaaz sunkar Aapne farmaya, kon?, Huzaifa,
Mene arz kiya, jee,
Farmaya, khuda tumhari aur tumhari maa'n ki maghfirat kare, tumhari koi zarurat he? Dekho abhi ye farishta nazil hua he, Jo isse pehle kabhi na aaya tha, isko khuda ne ijazat di he k wo mujhe salaam kahe aur mujhe basharat de k Fatima jannat ki Aurto'n ki aur Hasan aur Husain Jannat ke nojawano ke sardaar hai'n,..✍
*📚 Tirmizi Sharif 📚*
*📬 [ Shahadat e husain RadiAllahu Taala Anhu, Safa no,166 ] 📚*
*📮 NEXT* ©ontinue In sha ALLAH
http://islahekhwateen.blogspot.com/2018/09/shahadat-e-husain-radiallahu-taala-anhu.html?m=1
🌐 ᴊᴏɪɴ ɢʀᴏᴜᴘ *ᴏɴʟɪʏ ʟᴀᴅɪᴇs*
☎ 7566980838 •─•• 📲
*🤲"ƊƲƛƛƠƝ MЄ ƳƛƛƊ ƦƛƘHЄƝ.✍*
___▁▁▂▂▃▃▄▄▃▃▂▂▁▁___
*Aᴀᴏ Aᴘɴɪ IsʟᴀH ᴋʀᴇ*
☆ *Elm Noo® Hai Guro🅿* ☆
🕋﷽🕋
❥═❥ ❥~ ilm e deen ~❥ ❥═❥
ραιgαм є υммατє мυнαммα∂ι ﷺ
🅿🅾ST ➪ 2⃣4⃣
❑──────────────╮
*⚔ SHAHADAT-E-HUSAIN ⚔*
*⚘ RADIALLAHU TAALA ANHU ⚘*
❑──────────────╯
●BISMILLAHIRRAHMANI RRAHIM●
🌹✿MUHARRAM UL HARAAM✿ 🌹
*🔰✿ FAZAIL O MASAIL ✿ 🔰*
*🏻 [ 3 ]➧* Fazaile Ahle Bait Nabvi Sallallahu Alaihivasallam
*🏻 1⃣3⃣➧* Hazraate Hasnain Raziyallahu Anhu ke fazail-3
⚘✦⇒ in mushtarak fazail ke alawa Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ke kuchh imtiyazi fazail alag hain Jo unhe Hazrat Husain Raziyallahu Anhu se mumtaz karte hain, in fazail me sabse badi faziLat ye he k, Huzur Sallallahu Alaihivasallam ne inke muta'alliq pesheen goyi farmayi thi ke " mera ye beta sayyad he, khuda iske zariye se muslamano ke do bade giroho me suLah karayega,
⚘✦⇒ Hazrat Amire Muaviya Raziyallahu Anhu se suLah ke waqt Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ne is pesheen goyi ki Amali tasdeeq farmayi,
Ek moqe per farmaya k " Hasan ( raz) ko mera hiLm ataa hua he,"
*📘 [ Ser- al-Sahaba, ] 📘*
⚘✦⇒ Hazrat Husain Raziyallahu anhu ne us jung me bhi shirkat farmayi thi jisne 15 hijri ko Kustuntuniya par hamLa kiya tha, is hamle me Yazeed bin Muaviya bhi the,
*📗 [ Al-bidayata v al-nihayata ] 📗*
⚘✦⇒ Hazrat Husain bin Ali Raziyallahu Anhu inthai mutavaza the, Ek martaba ghode per sawaar guzar rahe the, Gurba ki ek Jama'at nazar aayi Jo zameen per beth kar roti ke tukde kha rahi thi, Aapne unko salaam kiya, un logo'n ne kaha," Farzande Rasool ! Hamare saath khana tanavul farmae, "
Aap raz. ghode se utre aur unke saath bethkar khane me shareek ho gaye,Aapne is moqe per Surah Nahal ki ye aayat tilawat farmai,
" innallahu La yuhibbul mustakbireen, "
⚘✦⇒ Allah takabbur karne walo ko pasand nahi farmata he,
⚘✦⇒ Farig hone ke baad farmaya, Bhaiyo'n aapne mujhe dawat di mene qabool kiya, ab aap sab meri dawat qabool kijiye, un logo'n ne bhi dawat qabool ki aur Aapke ghar aaye, Sab aakar bethe to Aapne farmaya," Rubaab Laana Jo bhi bacha hua mehfooz rakha he,..✍
*📕[ Al- Johar, ] 📕*
*📬 [ Shahadat e husain RadiAllahu Taala Anhu, Safa no,168 ] 📚*
*📮 NEXT* ©ontinue In sha ALLAH
http://islahekhwateen.blogspot.com/2018/09/shahadat-e-husain-radiallahu-taala-anhu.html?m=1
🌐 ᴊᴏɪɴ ɢʀᴏᴜᴘ *ᴏɴʟɪʏ ʟᴀᴅɪᴇs*
☎ 7566980838 •─•• 📲
*🤲"ƊƲƛƛƠƝ MЄ ƳƛƛƊ ƦƛƘHЄƝ.✍*
___▁▁▂▂▃▃▄▄▃▃▂▂▁▁___
*Aᴀᴏ Aᴘɴɪ IsʟᴀH ᴋʀᴇ*
☆ *Elm Noo® Hai Guro🅿* ☆
🕋﷽🕋
❥═❥ ❥~ ilm e deen ~❥ ❥═❥
ραιgαм є υммατє мυнαммα∂ι ﷺ
🅿🅾ST ➪ 2⃣5⃣
❑──────────────╮
*⚔ SHAHADAT-E-HUSAIN ⚔*
*⚘ RADIALLAHU TAALA ANHU ⚘*
❑──────────────╯
●BISMILLAHIRRAHMANI RRAHIM●
🌹✿MUHARRAM UL HARAAM✿ 🌹
*🔰✿ FAZAIL O MASAIL ✿ 🔰*
*🏻[ 4 ]➧* SHAHADAT KE FAZAIL O AQSAAM
🏻 1⃣➧ SHAHADAT KE FAZAIL
⚘✦⇒ Huzur Akram Sallallahu Alaihivasallam ne hamdo sana ke baad irshad farmaya," Beshak sachcha kaLaam Allah ki kitaab he, sabse mazboot kada taqwa he, sabse behtar miLLat Hazrat Ibrahim Alaihissalam ki miLLat he, sabse behtar tareeqa Muhammad ( Sallallahu Alaihivasallam) ka he, sabse ashraf kaLaam Allah ka zikr he, sabse behtar qissa Quran he, Tamaam kaamo me sabse behtar wo he jisko azmiyat se Ada kiya jaye aur badtareen kaam kaam wo he Jo naye naye ijaad kiye jaye, sabse behtar tor tareeqa Ambiya Alaihissalam ka tor tareeqa he , sabse ashraf maut shahadat aur unka qatL he,
*📕[ Hayatussahaba ] 📕*
⚘✦⇒ is hadees me farmaya gaya ke shaheed ka qatL hona sabse ashraf maut he, ashraf ke ma'ani sabse zyada buzurgi wali, sabse zyada Laaiqe azmat,
⚘✦⇒ Qurane Kareem me Hazraate Shuhada ka darja teesra bayaan farmaya he jesa k irshad he, aur jisne kaha maan liya Allah ka aur Rasulullah ka to ye log honge Nabiyo'n ke saath aur Siddiqeen ke saath aur Shuhada ke saath aur Aala darja ke nek logon ke saath aur bahut hi umda hain ye sab Hazraat rafeeq hone ke aitbaar se ( inse zyada umda rafeeq kisi ko mayassar aa sakte hain ?)
*📗 [ Surah An-Nisa ] 📗*
⚘✦⇒ Qurane Kareem ne pehla darja Allah ke Nabiyo'n ka bayan farmaya, doosra Siddiqeen ka, teesra
Shuhda ka, chotha Saleheen yani aala darje ke nek logon ka jinko hum Auliya Allah kehte hai'n,
⚘✦⇒ Hum jese gunahgar musalman Jo Allah ta'ala ki aur uske Rasool Huzur Akram Sallallahu Alaihivasallam ki ita'at kare aur ita'at ki koshish karte rahe, Allah ta'ala aise logon ko khush khabri de raha he k Qayamat ke din unka hashr nabiyo'n, siddiqeen, shuhada aur saleheen ke saath hoga aur ye bahut achchhe saathi hain, Ye Allah ta'ala ka fazal he jisko Allah ta'ala naseeb farma de,..✍
```🌹🤲🏻 " Allah ta'ala hum sabko naseeb farma de, (Ameen ya rabbul alameen)```
*📬 [ Shahadat e husain RadiAllahu Taala Anhu, Safa no,172 ] 📚*
*📮 NEXT* ©ontinue In sha ALLAH
http://islahekhwateen.blogspot.com/2018/09/shahadat-e-husain-radiallahu-taala-anhu.html?m=1
🌐 ᴊᴏɪɴ ɢʀᴏᴜᴘ *ᴏɴʟɪʏ ʟᴀᴅɪᴇs*
☎ 7566980838 •─•• 📲
*🤲"ƊƲƛƛƠƝ MЄ ƳƛƛƊ ƦƛƘHЄƝ.✍*
___▁▁▂▂▃▃▄▄▃▃▂▂▁▁___
*Aᴀᴏ Aᴘɴɪ IsʟᴀH ᴋʀᴇ*
☆ *Elm Noo® Hai Guro🅿* ☆
🕋﷽🕋
❥═❥ ❥~ ilm e deen ~❥ ❥═❥
ραιgαм є υммατє мυнαммα∂ι ﷺ
🅿🅾ST ➪ 2⃣6⃣
❑──────────────╮
*⚔ SHAHADAT-E-HUSAIN ⚔*
*⚘ RADIALLAHU TAALA ANHU ⚘*
❑──────────────╯
●BISMILLAHIRRAHMANI RRAHIM●
🌹✿MUHARRAM UL HARAAM✿ 🌹
*🔰✿ FAZAIL O MASAIL ✿ 🔰*
*🏻 [ 4 ]➧* SHAHADAT KE FAZAIL O AQSAAM
🏻2⃣➧ SHAHADAT KI MAUT KA DARJA
⚘✦⇒ Huzur Sallallahu Alaihivasallam ko Allah ta'ala ne nabuwat Ataa farmayi aur Shuhada Aapke jooto'n ki khaak hain, Aap Sallallahu Alaihivasallam tamam Ambiya Alaihissalam ke sardaar hain, iske bavajood Aap Sallallahu Alaihivasallam irshad farmate the ke,
Mera jee chahta he k me Allah ke raaste me qatL ho jaun phir zinda kiya jaun, phir qaLl ho jaun fir zinda kiya jaun phir qatL ho jaun phir zinda kiya jau'n ( ye siLsiLa chaLta hi rahe),
*📙 [ Mishkaat Sharif, ] 📙*
🏻 3⃣➧ SHAHEED ZINDA HE
⚘✦⇒ Qurane Kareem me irshad he,
" aur Jo Allah ki Raah me qatL ho jate hain unko murda na kaho baLki wo zinda hain, magar unki zindagi ka tum sha'ur nahi rakhte, "
*📕 [ Surah Al-Bakra ] 📕*
⚘✦⇒ Aur doosri jagah irshad farmaya,
" Balki wo zinda hain aur unke Rab ke paas unko Rizk diya jata he,
*📗 [ Surah Aale imraan ] 📗*
⚘✦⇒ Sahi Bukhari ke hawaLe se mishkat me hadees he,
" Allah ta'ala ke arshe Aazam ke saath qundliyan Latki hui hain or woh shuhada ka musqar he, woh shuhada ke Rehne ki jagah he aur sabz parindo ki shakL me Allah ta'ala unko sawaariya'n Ataa farmate hain or unki Roohe'n in sabz parindo me jannat ke andar parvaaz karti he aur jahan chahti hain khati peeti hai'n, "
*📘 [ Mishkaat Sharif, ] 📘*
⚘✦⇒ Ye qayamat se pehLe ka qissa he, qayamat ke din unke saath Jo maamLa hoga wo to Allah ta'ala hi jaante hain Subhanallah ! ..✍
*📬 [ Shahadat e husain RadiAllahu Taala Anhu, Safa no,175 ] 📚*
*📮 NEXT* ©ontinue In sha ALLAH
http://islahekhwateen.blogspot.com/2018/09/shahadat-e-husain-radiallahu-taala-anhu.html?m=1
🌐 ᴊᴏɪɴ ɢʀᴏᴜᴘ *ᴏɴʟɪʏ ʟᴀᴅɪᴇs*
☎ 7566980838 •─•• 📲
*🤲"ƊƲƛƛƠƝ MЄ ƳƛƛƊ ƦƛƘHЄƝ.✍*
___▁▁▂▂▃▃▄▄▃▃▂▂▁▁___
*Aᴀᴏ Aᴘɴɪ IsʟᴀH ᴋʀᴇ*
☆ *Elm Noo® Hai Guro🅿* ☆
🕋﷽🕋
❥═❥ ❥~ ilm e deen ~❥ ❥═❥
ραιgαм є υммατє мυнαммα∂ι ﷺ
🅿🅾ST ➪ 2⃣7⃣
❑──────────────╮
*⚔ SHAHADAT-E-HUSAIN ⚔*
*⚘ RADIALLAHU TAALA ANHU ⚘*
❑──────────────╯
●BISMILLAHIRRAHMANI RRAHIM●
🌹✿MUHARRAM UL HARAAM✿ 🌹
*🔰✿ FAZAIL O MASAIL ✿ 🔰*
*🏻 [ 4 ]➧* SHAHADAT KE FAZAIL O AQSAAM
🏻 4⃣➧ HAZRAT UMAR RAZIYALLAHU ANHU KI SHAHADAT KI DUA
⚘✦⇒ Hazrat Umar Raziyallahu anhu dua farmate the," ya Allah ! Shahadat ki maut naseeb farma aur apne Rasool Sallallahu Alaihivasallam ke shehar me maut naseeb farma,"
Phir farmate, k Umar 2 baate ikatthi kese ho sakti he, shahadat ki maut bhi maangte ho aur Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke shehar me bhi maangte ho, Jihaad to bahar hota he, Madina me bethkar kese shahadat mil jayegi
Khud hi sawal karte aur khud hi jawab farmate the k " agar Allah chahe to do no ko jama kar sakta he," Aur haqeeqat me Allah ne dono ko jama karke dikha diya, aur Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ki dua qubooL farmaLi,
🏻 5⃣➧ HUSOOL E SHAHADAT KA WAZEEFA
⚘✦⇒ Hadees Sharif me aata he Jo shakhs rozana 25 martaba ye dua pada kare,Allahumma BaarikLi fil mauti wa fima Ba'adaL maut,
⚘✦⇒ " Ay Allah ! Mujhe maut me barkat ataa farma aur maut ke baad Jo hota he usme bhi barkat ataa farma , "
⚘✦⇒ Hazrat Ayesha Raziyallahi Anha ne Huzur Sallallahu Alaihivasallam se daryaft kiya k koi shakhs bagair shahadat ke bhi shaheedo'n ke saath ho sakta he? Huzur Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya ke Jo shakhs din raat me 20 martaba maut ko yaad kare wo ho sakta he, Ek hadees me he ke Jo shakhs 25 martaba" Allahumma barikli fil mauti wa fima Ba'adal maut," pade wo shahadat ke darje me ho sakta he,..✍
*📗 [ Mirqaat,, 5/ 270 ] 📗*
*📬 [ Shahadat e husain RadiAllahu Taala Anhu, Safa no,179 ] 📚*
*📮 NEXT* ©ontinue In sha ALLAH
http://islahekhwateen.blogspot.com/2018/09/shahadat-e-husain-radiallahu-taala-anhu.html?m=1
🌐 ᴊᴏɪɴ ɢʀᴏᴜᴘ *ᴏɴʟɪʏ ʟᴀᴅɪᴇs*
☎ 7566980838 •─•• 📲
*🤲"ƊƲƛƛƠƝ MЄ ƳƛƛƊ ƦƛƘHЄƝ.✍*
___▁▁▂▂▃▃▄▄▃▃▂▂▁▁___
*Aᴀᴏ Aᴘɴɪ IsʟᴀH ᴋʀᴇ*
_*🕋 ⚘ мαιiκo мoια κi βααяgαн - Ё - Aαιiγα мαi Dυα нαi мαιiκo мoια нαмε κεнηε, Sυηηε, ραdнηε, ιiκнηε, βoιηε Sε Ziγαdα Aмαι κi τofεεq - Ё - яαfεεq Aτα Fαямαγε.*_
⚘ امين يارب العالمين ⚘
_*ταιiβ-Ё-Dυα*_
_*мαяноомα ƒαƭเɱα βεgαм*_
*_мαянοοм мυнαммα∂ ѕι∂∂ιգ_*
*_Tαɱαɱ ααLαɱ ε αrωααɦ_*
Comments
Post a Comment